Wednesday, January 28, 2009

Class notes from January 28th, 2009, Wednesday

Class Date: 01/28/2009 (January 28th, 2009, Wednesday)
Chapter: 3
Page#: 57
Paragraph #: 2nd para (sachcha upaay kya) and starting of antaraay karm ke uday se...
Recorded version:
Summary:

Some points related to charitra mohniya:
-> jo sadhak hota he voh raag-dwesh utpann karnevaale padartho ka tyaag karta he. yeh sadhak ka lakshan he ki voh achetan padarth aur jivo ki sangati ka budhdhipurvak tyaag karta he.
-> Muni maharaj iska jivant praman (example ) he. van me rehna, sab parigrah ka tyag karna adi lakshan se yeh bhasit hota he.
-> raag-dwesh ke bahya sadhan ke tyaag karne par bhi jab tivra charitra moh ka uday aaye to raag-dwesh aayenge bhi sahi , are kabhi kabhi to bahya sadhan na milne par man me kafi jyaada klesh ya aakulta ka hona bhi sambhav he. yeh dusri baat samanya taur pe nahi dekhne ko milti lekin kabhi rare cases me esa hona bhi sambhav he.
-> to fir prashna yeh hoga ki agar bahya sadhana tyag ne par bhi raag-dwesh hone ki sambhavana ho to bahya sadhan tyagne se laabh kya hoga ( karm ki apeksha)?
-> 2 mukhya laabh honge.
1> laukik bahya sadhano ke bich rehne se charita moh / raag / dwesh aadi ke uday ke saath saath udirana bhi hoti he. time pass karne ke liye TV dekhna , news read karna adi iske example he. Jab bahya sadha na rahe to karo ki udirana nahi hogi aur sirf samanya uday hi hoga.
2> samanya uday ke samay me bhi jiv subh pravruti me laga hua ho to karm ke uday me bhi naye badhanevaale karm aur dusre karm ke sthiti / anubhag dhile honge.
-> is liye bahya sadhan tyagna hi uchit he.
-> yaha ek aur baat bhi dhyaan me rakhne jesi he. voh ye ki jab raag-dwesh ke sadhan tyag ne ki baat charnanuyog nasti se karta he tab sva me, aatma me lin hone ki baat asti se dravyanuyog karta he. is taraf asubh ko tyag kar subh aur sudhdh ki aur jane ka prayojan he.
-> sochne ki baat yah he ki kya hame yah marg aur upaay sachcha lagta he? kya hame esa bhasit hota he ki is sachche upaay ko chhod ham jo bhi kar rahe he voh sab nirarthak he , vyarth he, tuchchh he?

Antraay Karm Se Honevaale Dukh aur Us se Nivrutti:
-> jiv ko aneko ichcha hoti he is ke piche moh karan he. is moh ke karan jo ichcha hoti he usko pura karne ka utsaah ya shakti jiv me antraay karm ke khsyopasham se utpaan hoti he.
-> jab antraay karm ka uday ho to jiv ichcha hone par bhi daan, laabh, bhog, upbhog aur virya ke karya nahi kar shakta he. Is se jiv aakul hota he aur yah aakulta se voh dukhi hota he.
-> yaha:
salah, suraksha, dhan adi dene rup daan ke karya,
achcha sharir, gyaan, dhan, khyati, profit mile ese labh ke karya,
khana adi rup bhog ke karya,
makaan, vastra adi rup upbhog ke karya,
utsaah rup shakti ka pragat hona esa virya ka karya,
in pancho prakar ke kary antraay ke uday se nahi hote.

-> viryaantaraay ka example: jab koi karya me asafalataa mile to fir se karya karne ka utsaah, baar-baar prayatna karne ka utsaah koi jiv me dhikhne ko milta he. jab ki anya jiv me asafalata ke baad nirashaa dikhti he, to yeh viryantaray ke uday se he esa jan sakte he.

-> agar yeh antaraay karma ka uday sahi me dukh rup he esa nirnya ho jaaye to fir uske rokne ke abhi ke vartmaan ke upaay kya he aur voh kyo nirarthak he voh soch shakte he.
-> hum kon se upaay karte he antaraay dur karne ke? jo bhi vighna ka bahya karan dikhe use door karne ka. Hamari drashti par padartho par hi hoti he. dosharopan hi karte he.
-> kya sach me hum yeh hi upaay nahi karte? are hanmesha yahi to karte he.

-> ab yeh upaay juthe kyo? vighne ke ese upaay kare to bhi vighna dur nahi hota aur kabhi upaay na kar shake to bhi vigha dur ho jata he. Is se yeh soch shakte he ki bahya me karan find karna aur usko dur karne ke upaay kare ya na kare usase vighna door hone ke saath main relation nahi he.
-> koi aur bhi factor he jo hum consider nahi karte. voh invisible factor he antraay karm ka kshyopasham. hum is ko to ignore hi karte he. bahya me hi drashti hoe ne se hamare upaay nirarthak hi hote he. is taraf agar sachchi drashti aave to hume apne upaay juthe lage.
-> par me hi raag-dwesh rup ishta-anishta budhdhi hone se svayam par drashti nahi jaati.

1 comment:

Vikas said...

Nice post. Antaray ke examples badiya cover kiye hai.

One comment:

"..kabhi kabhi to bahya sadhan na milne par man me kafi jyaada klesh ya aakulta ka hona bhi sambhav he. yeh dusri baat samanya taur pe nahi dekhne ko milti lekin kabhi rare cases me esa hona bhi sambhav he."
Comment: yeh dusri baat bhi kafi common hai ki jab bahya sadhan ke naa hone par bhi man me sankalp karke anek akulata utpanna kar leta hai. Right?

- Vikas