Class Date: 01/19/2009
Chapter: 3
Page#: 54
Paragraph #: 2
Recorded version: http://cid-52d749a4f28f4c05.skydrive.live.com/self.aspx/Public/MMP%20class/01-19-09%7C_Chap3%7C_KarmSeDukh%7C318.mp3
Summary:
Hum sub aisa mante hain ki yeh jo hum chaturta kar rahein hai, Chhal karke, mayachar karke, uske madhyam se padorthon ki prapti ho rahi hai aur dikhta bhi vaisa hi hai ki agar mayachari ya chhal kapat nahin karte aur imandari se rehte hain to vastu nahin milti.
Q. Kya vastav mein chhal karne se padarthon ki prapti ho sakati hai?
Ans. Vastu milna punya ke adhin hai. agar punya ka uday nahin hai to chhal ya anya pap karya karne par bhi vastu ki prapti nahin hoti lekin jo pap kiya uska bandh to avashya hoga hi hoga.
--> Vastav mein vastu vedniy karma aur labhantaray karma ke kshayopksham ke karan prapt hoti hai par manyata aisi hai ki mayachar ya juth nahin bolte o nahin milti.
Papanubandhi punya:
Pap ke kam karne par vastu ki prapti hona so papanubandhi punya hai.
Punya hai so vastu ki prapti ka nimit hai aur pap ka karya hua mane pap ka bandha karane wala.
Papanubandhi punya ka example:
Madir ki kriya kar rahein hain lekin man mein abhipray dikhane ka ya khyati, labh, pujadi ka hai to shubhkriya se bandh to punya ka ho raha hai lekin yeh bandh khota hi hai kyonki isme pap ka abhipray chupa hua hai.
--> Is prakar ke parinam, papanubandhi punya mein nimit hote hain.
--> Pap karte rehne se vastu ki prapti kaise ho sakti hai(Comman sense).
Pahle jo punya kiya tha wo pap ke sath kiya tha jiski vajeh se punya bandha par wah punya pap ke kal me hi fal dega.(Viparit abhipray ke sath, nidan ke sath jis punya ka bandh kiya tha)
--> Punya ka uday ane par vastu ki prapti to hui par wo bina pap kiye nahin hui.( Chor ko chori karke dhan milna wah punya ka uday hai lekin bina pap ke use dhan nahin mila)
Points:
-->Samyagdrishti jiv or mithyatvi jiv ke agar parinam same ho to bandh bhi ek jaisa ho sakta hai.
-->Adyatma ki apeksha shubhopyog 4th gunasthan se pehle chalu nahin hota.
-->Chothe panchve gunasthan ke sath me jis jiv ka maran ho vo 16 swarg se upar nahin jayega.
Yahan yeh turk bhi hai ki Chothe panchve gunasthan vale jivon ko usase uper jana bhi nahin hai kyonki vaha jyada samay rukana hoga aur agar pehle ya dusre swarg mein jayein to vahan se jaldi nikal kar moksh prapt kar sakte hai.
Q.Asakti more important hai ya leshya?
Ans.Asakti jo ki parinamon mein hai vo leshya ke rup mein pragat hoti hai.
No Kashay:Kinchit kashay (No = mane kinchit).
Kashyon ke sath jiska uday paya jata hai lekin anya kashayon ki tarah balvan nahin hai.
sthiti aur anubhag tivra nahin hote. Akele karya karne mein samartha nahin hai.
Nokashay = Akashay.
-->Hansne rup kriya wo apne aap mein hasya kashya hai.
-->Is jiv ko bahot sari pida hai phirbi koi jhuthi ya astyarth kalpana karke apne ko suhata karya mankar harshmanta hai lekin vastav mein to wah dukhi hi hota hai.
-->Jaise rastein mein khade bhikhari ka hansana. Na khana hai na kapde hai lekin phir bhi koi kalpana karke hansane lag jata hai.
-->Vastavik dukh ko gaun kare anya vastu jo samne hai usko mukhya karke yah bahot badhiya hua aisa mankar usme sukh ki kalpana karta hai. Bhram rup avastha ka poshan karta hai.
Q.Hasya wah krodh se accha hai kya?
Ans. Sabhi kashayein buri hai. Agar ek kashay ko dusri se achha mane to usse chutna kaise sambhav ho.Sanyam mein dosh utpanna karne ke karan se hasya vah kashay hi hai. Hasya ke sath mein rati kashay chalti hai.
-->Hansana wah sukhi hone ka lakshan nahin hai. yadi aiasa mane to pagalon ko bhi sukhi manana padega jo ki satya nahin.
Kashyon ki tarah nokashay ke bhi char prakar janana.
anantanubandhi, pratyakhyan, apratyakhyan, sanjwalan
Hasya kashay ke sambandh mein
1) anatanubandhi: Gurujano ke uper hansana, kahin bhi hansa dena, Aviveki pana
2)Apratyakhyan: Apne pad ke anurup, kul ke anurup hasya karna wo apratyakhyan kashay me ayegi.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Thanks for posting. Papanubandhi punya and Hasya kashay is explained well.
Couple points:
-->Samyagdrishti jiv or mithyatvi jiv ke agar parinam same ho to bandh bhi ek jaisa ho sakta hai.
I corrected later in the class that samyakti aur mithyatvi ka bandh same nahi hoga. In dono ke abhipray me antar hone se karm ke sthiti-anubhag me bhi pharak rahega.
Kashyon ki tarah nokashay ke bhi char prakar janana.
anantanubandhi, pratyakhyan, apratyakhyan, sanjwalan
Note that this categorization is only described by Pandit Deepchandji in Bhavdeepika book. Nokashay is not categorized in 4 kashays as above in old Aacharya written scriptures. Thanks to Shrishji to bring this point.
Post a Comment