Tuesday, January 6, 2009

Class notes from 1/5/09

Class Date: 1/5/09
Chapter: Chp 3
Page#: 51
Paragraph #: Kisi kaal mein..
Recorded version:
Summary:

Class notes from 1/5/09

Chp 3- Pg 51- contd


We started with revision of gyanavarniya, darshniya karma se honewale dukh aur usse nivrutti. Phir sukh ki avastha kaisi honi chahiye iski baat kari. Iccha naa rahey aur purva ki sab iccha ki purti ho jaaye- yeh sukh ki avastha hai. Kya humne aisa socha hai, kya hume sach aisa lagta hai? Is baat pe chintan karna chahiye. Agar vastav mein sukh ki avastha kya hai is baat pe vishvas ho jaye, tab hum aisa lakshya banayenge.

Mohiniya karma se honewale dukh aur usse nivrutti pg 51

Kisi kaal mein..

Kabhi koi kaal mein hamare chahne ke anusar kuch ho jata hai tab humein aisa lagta hai ki vastu, yaa log apne aadhin hai. Parantu sabhi, hamesha aadhin nahi hote, iccha ke anusar parinamit nahi hote isi liye aakulta to hamesha bani rehti hai aur hamein sirf bhram rup sukh ka abhas hota hai. Isse aur bhi nuksan hai ki kabhi apne adhin ho jaaye, tab usse hamein asakti, ahamkar, mamkar ho jaata hai.

Vo kaise: Hamein konsa bachcha pyara lagta hai? Jo hamari baat maanta hai. Log mein sahaj rit se hamein us par raag badhta hai jo hamare anusar parinaman karta hai. To mithyatva to badhta hi hai (kyonki vastav mein kuch hamare adhin nahi), aur raag dvesh ki parampara bhi badhti hai. Yeh to bahut nuksan hai. Sharir bhi tab tak hi accha lagta (raag hota hai) hai jab tak usme rog vagereh nahi. Jab hum agar dekh na paaye, sun naa paaye tab usme dvesh hota hai- kyonki ab jaisa mein chahta hu, vaisa parinaman nahi hota hai.

Aur jab vastu mein raag badhta hai to unko badhane ki, utpann karne ki pravarti hoti rehti hai. Agar thoda kaam kiya aur ussey paisa milta hai to aur mehnat karte hai. Yadi kaam karne par bhai paisa naa miley to jyada kaam karne ki pravarti nahi rahegi. Is liye samajhna chahiye ki jab vastu apne anusar parinaman karti hai, to hamare liye bahut nuksan karak hai. To sukhi to hote nahi (sukha kaa bhram hai) aur nuksan bhi hota hai.

Is liye sochna chahiye ki jab vastu apne anusar parinaman nahi karti, to hamare liye accha hai. Lekin isse shayad dvesh bhaav ho jaaye, par dvesh ko chhodna aasan hai.. raag ko realize karna aur chhodna bahut kathin hai. Raag/prem (incl lobh, hasya) ko jeev accha janata hai. Is liye usey chhodna bahut tough hai.

In sab ka karan kya hai; aisa kyon hota hai? In sab ka karan mithyatva hai. Vishyo ki iccha, kashay ka karan kya hai? (iccha swayam kashay rup hai- charitra moh nimit rup hai). Par padarth mein isht, anishtpana maanna yeh hi kashay utpan hone ka mul karan hai. Par padarth/ bahya samagri mein isht anishtpana maanna yehi mithyatva hai.

Ek shan ke sukh ke liye humne karmo se bhar bhar ke karja liya hai.. Is liye samyak darshan bahut bahut jaruri hai. Yeh dikhay nahi deta.. kriya vagereh karna aasan hai, gyan bhi kar sakte hai ki mein sharir nahi aatma hun, lekin shraddhan karna chahiye.. is shraddhan ko drudh karne ke liye kade purusharth ki jarurat hai. Ek mithya darshan ke jaane par, yeh sab dukh rup avastha mit jaati hai. Is liye dukho ka mul mithyatva hai aur samyaktva ka mahatva hai. Anya koi upay hi nahi hai.

Humey aisa shraddhan nahi hota ki yeh sab dukh rup hai, is liye hum uska koi upay bhi nahi karte. Hum dukh ko sukh maante hai to sache sukh ka upaay kare kyon? Tivra mithyatva ke uday se humein vartman avastha bhram rup sukh hai, mul mein dukh rup hai aisa shraddhan hota nahi. Mithyatva ke vajeh se humein vartman avastha sukhrup lagti hai.

Dharm to kalpa vruksh se bhi better hai. Kalpa vruksha se to mangna padta hai.. dharm yadi hum sache rup mein samajh kar kare, to laukik vastu to bina maange hi milti hai.. aur sacche aatma ke sukh ki aur bhi badhte hai. Samyak darshan ke baad nichi gati mein bhraman nahi hota to sukh (at least hum jise indriya sukh maante hai) vo to milne hi vaala hai to kyo samyaktva ki aur prayas naa kare? Jiska koi mulya nahi aise vartman ke sukhabhas mein kyo samay barbad kare? Is liye first step hai ki hum maaney ki vartman mein dukhi hai..

Kabhi hum soche bhi ki vastavik sukh ki aur prayas karna hai, tab ku dev, ku dharm, ku guru mil jaaye to aur bhi bura hota hai. Humein to lagta hai ki in sab se (ku dev aadi) hamar bhala hoga, lekin sansar bhraman badh jaata hai. Thagi ke barabar hota hai- humein lagta hai ki sab accha hota hai, lekin jab vastavikta ka pataa chalta hai, tab ehsas ho jaata hai ki kitna nuksan hua. Lekin ussey pehle inke sangati se vishay kashay aur pushta ho jaata hai aur viprit gyan hota hai. Ku dev ku guru aadi ki sangati se grahit mithyatva badhta hai. Aur grahit mithyatva ko hatana bahut mushkil hai. Apne kul ki parampara aur manyata se hatna aasan nahi. For e.g. if I am born a hindu, then I will find it very difficult to believe or become a jain. Therefore we should always be on guard against grahit mithyatva.

Kabhi aisa bhi avsar mil jaaye ki hum su dev suguru sudharm ka sanyog kare, tab bhi hum sirf vyavahr mein shraddha karte hai (kriya vagereh), nischay tatva (bhed vigyan) mein nahi- is liye ant mein to atatva shraddhani he rehte hai.

Humein vicharna chahiye ki hum kis category mein hai aur taduprant, tatva sharaddhan badhane ka prayas karna chahiye.

Q: Kyon koi for e.g. sai baba vagereh mein believe karte hai? Kuch to hota hoga, koi to unme shakti hoti hogi.. to aisa kyon?

A: Us jeev ne (for e.g. sai baba) aise punya karma kiye honge, shayad nidan kiya hoga, ant mein us jeev ki punya prakruti kaam karti hai is liye unke followers ho jaate hai.

Samajhna chahiye ki nidan kitna nuksan kaari hai. Paap rup to hai hi, uprant punya ke fal ko kitna nimna banata hai. Agar punya itna tha ki dev lok mein sagaro tak rahein, parantu nidan se manushya mein 60-70 saal tak kuch milega.. to nidan se hamesha bachna chahiye.

Additional notes: hunda avsarpini mein jin mat ke alava mat chalte hai. Videh kshetra mein sirf jain mat chalta hai.

-Shweta

1 comment:

Vikas said...

Excellent post and great statements. Saari baate baar-baar vicharane layak hai.

Couple points I liked:

..Is liye samajhna chahiye ki jab vastu apne anusar parinaman karti hai, to hamare liye bahut nuksan karak hai...

..Jiska koi mulya nahi aise vartman ke sukhabhas mein kyo samay barbad kare?..

Thanks.