Wednesday, January 28, 2009

Charitramoh se dukh aur usse nivrati

Class Date: 01/27/2009
Chapter: 3
Page#: 56-57
Paragraph #: Last pera(pg 56) & 1st and 2nd (Pg 57)
Recorded version:
Summary: https://cid-7b059e9a2ee44886.skydrive.live.com/self.aspx/MMPClassAudio/01-27-09%7C_Chap3%7C_KarmSeDukh%7C322.mp3

Revision of the page 56( last class )
Charitrya mohniya karma ke uday ke samay jiv padarthsiddhi ke liye kare huve upay juthe hai unke kaaran niche bataye hai. Jiv ki manyata hai ki karya ki siddhi kar ke sukh prapt kar lega, parantu anjane me kashay ki purti ke liye wah upay karta hai For example, chal(cheating) karke wah kuch vastu prapt karega, hasya ki samagri se hasega, etc.
1) Vastu ki prapti unki bhavitavyata ke aadhin hai.- Sare upay kar ne ke bavjut bhi vastu ki prapti nahi hoti, to kah sakte hai ki yah bhavitavyata ke aadhin hai. For ex. Job milna bhavitavyata ke aadhin hai

2) Vastu ki prapti ke liye pravruti/upay karna wah bhi bhavitavyata ke aadhin hai - Upay to bahut sare hai per sare upay hum kar nahi sakta, kuch ek hi kar sakta hai to upay bhi bhavitavyata ke aadhin hai. For ex. Job ke liye resume file ya aur karya karna wah bhi bhavitavyata kai aadhin hai.

3) Ek iccha ki purti hone per dusri iccha shuru ho jayegi – For ex.Pahele vastu ko prapt karne ki iccha hai ub usko bhogne ki iccha hai.

4) Iccha ki purti per dukh door hote hai aaisi manyata dharan karna - Kashay ke ushaman se dukh door hote hai, ye na maanna
5) Iccha sari purna ho jaye ye manyata vyarth hai, ye kabhi sambhav nahi.
Tivra karma ke uday ke samay purusharth bhi karyakari nahi hai. For ex. Jaise mahenat karne ke baad bhi aagar promotion nahi mile to waha jiv ke punya karma(bhavitavyata) karanbhut hai, aur kai jagah kum mahenat per bhi promotion mil jata hai, isliye vastu ki prapti aur uske upay bhavitavyata ke aadhin hai.

Jiv sirf vikalp/vichar matra kar sakta hai, perantu kar to utna hi satka hai jitna bavitavyata ke aadhin hai. Maan ki kriya ko kaya ki kriya me convert karne ke liye jo purusharth hai wah kahene matra ka purusharth hai, kyoki jub tivra karmo ka uday ho tab purusharth bhi karyakari nahi hota. Parantu sarwatah aaisa hi hai aur use niyatiwad per chod de, ki hamare haath me kuch nahi hai, aur purusharthhin ho jaye to yaha wah acceptable nahi hai.

Swa ke parinam jiv ke aapne hatho me hai, waha purusharth samarth karan hai(purusharth bhi not 100% responsible), per bahya ki chizo ke liye bhavitavyata hi sahi aadharbhut karan hai. Bahya chizo ki prapti ke liye buddhipurvak ka purusharth/uske nimmit sirf jod sakta hai.

Purusharth ki ekant mantyata ko todne ke liye bhavitavyata ke aadharit bataya hai, aur jub tuk vitavyata nahi hogi tub tuk purusharth bhi aapna karya siddh nahi karta. So manyata ekant na ho ker samyaktvapurna honi chahiye.

Saccha sukh kashay ko mitane me hai; parantu koi mand kashay kohi sadhya janker usme hi sukh aur santosh man le to wah galat hai. Kashay ki shantta aachi hai per wah lakhya nahi hai, kyoki kasay ke mitne per sukh hai naki uske shant hone per.

Iccha ka aant hona wahi saccha upay hai naki iccha ki purti karna, isliye iccha ke mitne ka purusharth aur uski taraf drasti karna wahi sacha upay hai.

So isliye kahte hai vastu ko prapt karke jo upay kar rahe hai usse kashay kum hogi per mitegi nahi to fir wah upay bhi juthe hai, sacche nahi hai.

Jaise, bhaktambar ke 23rd slok me bataya hai “he jinendra dev aapne jo marg bataya hai wahi mukti ka,sukh ki prapti ka,dukho ko nivaran karne ka marg hai aur koi nahi" - wah shradha hone se jiv rag-dwesh se bachne ke prayatna karega, jisse dukh se nivruti, aur sampurna sukh ki prapti hogi.

Kashay jiv ko hamesha chalti rahti hai. Tivra kashay per jiv kuch soch hi nahi sakta. Mandkashayi jiv aanek vichar ker sakta hai, jisme subh bhav hona prashasth rag kaha jayega(swadhyay, puja aadi me judna).
Mand kashay me dev, shastra, guru ke prati bhakti, swadhyay,puja me lagna wah jiv ka purusharth hai.

Kashay ke karan se iccha hoti hai, kashay aur iccha paryaywachi nahi hai,kashay ka karya iccha hai. Jiv ko kashay ka dukh hamesha raheta hai For ex. Maan, maya, rati, krodh, etc., isliye kisi kashay se koi karya siddh hone per dukh door nahi ho sakta. kyoki uske aabhipray me chupi bhavna nirantar chal rahi hai, to hamesha dukhi hi raheta hai. Upyog ki limitation ke karan wah sari chize ek saath kar nahi sakta.
For Ex. Class me baithe hai per office ka kaam yaad aata hai, to usi samay per dukhi ho jata hai, so aabhipray me to kashay hamesha hai, upyog ke karan ek chiz kar sakta hai aur baki ke aabhipray se wah dukhi hi rahega. Sari kashayo ki iccha purti hona sambhav nahi hai, aur ek baar purna ho bhi jaye per wapis to paida ho jayegi.

Isliye wah jo bhi upay kar raha hai wah juthe(samarth nahi) hai sache aur sukh ke karan nahi hai. Niche bataye gaye upay sacche hai jisse sukh ki prapti ho sakti hai.

Upay :
- Samyak darshan = sahi sradhan – Per padarth me Isth-aanisth ki manayata galat hai ye buddhi purvak manna.
- Samyak gyan = Sahi janna - Per padarth me ista-aanisthpana nahi hai aaisa janna. (from aagam, updesh, guru ke dwara)
- Samyak charitrya = Samyak gyan aur Samyak charitrya se aaisa janne aur manne per rag-dwesh hai ko kum karna, aur usse sahaj hi sari icchao ka mitna, shreni aadi chadhega, aur moksh /sukh ko prapt karna.

Matlab ek ped(tree) ke mul(roots) ko kat diya jaye to phir wah ped thode din rahega fir aapne aap hi wah sukh jayega, usi tarah mul me samyak darshan aur samyak gyan pragat hone per aapne aap hi charitryamohniy ka uday hin hota jata hai, aage badhte badhte kashayo ka kshay aur aant me kashayo ka aabhav hota hai aur fir kashayo ke dukh door hone per automatically sukh ki prapti karta hai.

Samyakdrasti aur mithyadrasti jiv ke bahya karya me aantar nahi hai, per aantrik vicharna badal chuki hai, uske khedrup aantrik parinam hai, aur jub aavsar milega usse door hone ke karya karega.

Shayik samyaktva aagle bhav me mrutyu ke baad sath aata hai(niyam se) per aupshamik or shayopshmik samyaktva aagar uska samay baki hai to hi aayega otherwise nahi aayega. Shayik samyaktvi jiv zyada se zyada 7-8 bhav me mokh kop rapt karta hai.

So samyak darshan, samyak gyan aur samyak charitrya he sukh ke sahi upay hai.

Excerpt of the class discussion : Kasay ka mand hona per, usme subh vichar aur pravruti me lagna, job/family/swasth sarir ki aanukulta prapt hona, ye sari anukulta aabhi mili hai ye kub change ho jayegi ye pata nahi chalega, to aabhi is aavsar me jitna ho sake utna karna hitkari hai. Hamara kaam sirf EFFORTS dalna hai, jisse hi dukh se nivruti milegi. Hamesha aaisa bhasit hona chahiye ki jo karya aabhi me kar raha hu ye dukh ko door karne ke liye nahi hai, per isse hatkar SAMYAK DARSHAN-GYAN-CHARITRYA jo muje dukh se nivruti de wah karne yogya hai. Jo batata hai ki hamara aatma hi sukh ka karan hai, iccha/kashay kisi bhi tarah se sukh ke karan nahi hai, rag-dwesh wahi dukh ke karanbhut hai..

1 comment:

Vikas said...

Excerpt at the end is very inspiring to think about the dukh and how to get rid of it. Thanks for posting.

Samyakdrasti aur mithyadrasti jiv ke bahya karya me aantar nahi hai, per aantrik vicharna badal chuki hai, uske khedrup aantrik parinam hai, aur jub aavsar milega usse door hone ke karya karega.
Question: kisme khedrup parinam rahega aur kisse dur hone ka prayas karega?

Shayik samyaktvi jiv zyada se zyada 7-8 bhav me mokh kop rapt karta hai.
Correction: Kshayik samyaktvi jeev maxmimum 4 bhav (including current bhav) me moksha prapt karta hai yadi aayu ka bandh pahle hi kar liya hai to. Otherwise usi bhav me moksha prapt kar leta hai.