Saturday, March 20, 2010

Aasrav tattva sambhandi bhool/Aasrav ka anyatha swarup

Class Date:01/26/2010
Chapter:7
Page#:226
Paragraph #: 6
Recorded version:
Summary:

Q. Nichyabhasi, Vyavharabhasi jeev ka prakaran kyon samjhana chahiye?
A. Nichyabhas ityadi main jo abhas hai use apne main dekh kar apne shradhan/manyata main is tarah ki bhool ho to unhe sudhar sake.

Aasrav tattva sambhandi bhool/Aasrav ka anyatha swarup

* Vyavharabhasi jeev Mithyatava, Avirati, Kshay, Yog (asrav ke bhed) unhe bahirang roop se janta hai parantu antrang jaati ko nahi janta i.e inke peeche jo parinam/abhipray tatha in bhedo ke vastavki swaroop ko nahi janta. i.e. Aasrav ka bhav bhasan nahi hai.

Q. Mithyatava ka swarup kaise thik nahin jante hain?
A.
* Grahit mathyatava ko to janta aur manta hai per agrahit(sharir ityadi main ekatva manna) ko nahin pehchanta.
* Grahit ko bhi puri tarha nahin janta : example Laxmi pooja, book (a/c) pooja, So and so din ko kisi particular bhagwan ki hi pooja karni (Sunday ko Parasnathji ki hi pooja karni).

Q. Vyavharabhasi 'Avirati' ka swaroop kaise thik nahin jante hain?
A. Vyavharabhasi bahirang tras-sthavar ki hinsa tatha indriya-maanke vishayo main pravarti ko avirati janta hai parantu unke sachche swarup ko nahin jante.
1. Hinsa mian pramad mul hai so nahin janta. Mithyatva rup jo pramad hai use nahin janta. Karya (ahinsa rup) ka karta main kar ahankari hokar pravarta hai.
Hinsa ka sachcha swarup :
1a. As in Tattvartha Sutra(ch-7, sutra 13) : Pramatt yogaat praan vyapropanam hinsa i.e. Pramad ke yog (Kashay-rag-dvesh/Asavdhani) se or in other words pramadi jeev ke maan-vachaan-kay ke yog se kisi jeev ke bhav-praan and/or Dravya-praan ka viyog karna so hinsa hai.
1b. Hinsa rup parinaam hi vastav main hinsa hai. Drvya hinsa ko to keval isliye hinsa kaha hai ki us ka bhav hinsa se sambandh hai, kintu dravya hinsa hone per bhav hinsa hona anivarya nahin hai.

2. vishay sevan main abhilasha mul hai so nahin janta. Vishay ko dvesh budhi se bura maan kar nahin karta but yeh nahin janta/manta ke unse sanklesh parinam hote hain jo dukh ke karan hai.
Paanch indriya aur maan ko jitna means Indriya vishayo ke peeche jo raag-dvesh hai unka mitna/peda nahin hona.

Avirati atma main hoti hai sarir main nahin - vha atma ka parinam hai.
Avirati ke bhed (12 bhed)
- sat-kay ke jeev ki hinsa main lagna (6)
- Paanch indrya aur maan ki pravartiyo mian lagna (6)

* Bahirang krodadhi ko kashay manta hai par unke peeche abhipray main jo raag-dvesh hain unhe nahin pehchanta.

* Bahiya chesta (maan, vachan aur kay ki pravarti) ho usko yog janta hai but shaktibhut yogonko (Atma ke 'Yog' naam ka goon/ svayam ke karan atam ke pradesho ka kampan) nahin janta. Atma ki yog shakti ka kam nishkamp rehena hai (as in Siddh Bhagwan) sakamp nahin hona hai aisa nahin janta. Here, shakti ke madhyam se aisa kaha gaya hai ke vyavharabhasi atma ke swarup ko/parinaman ko/nij svabhav ko nahin janta. Atma maan, vachan aur kay se bhin hai aisa nahin janta. Yog nij ka parinam hai so nahin janta.

Vyavharabhasi jeev asubh pravarti mita kar subh pravarti main lagna chata hai but subh ko aasrav rup jankar use bhi chod kar Sudhopyog main lagne ki koshish nahin karta.

Aasrav ka sachcha swarup : Aasrav jeev/atam ki pariyay hai sarir ki nahin hai.Kriya kalapo ka nam aasrav nahi hai which implies maan, vachan aur kay ki chesta is not krodh, maan, avarati etc hence uske peeche parinam aur abhipray use jankar sudhara jai. Aasrav ko bataane ke liye maan, vachan, kay ka sahara liya jaata hai.
Aasrav atma ki parinati ka naam hai. Jaise sudh bhav atam ki parinati hai vesehi subh-asubh bhav bhi atam ki hi parinati hai.
Aasrav ke bhed
1. Bhav aasrav - Atam ki parinati/parinam.
2. Dravya aasrav - atma ke parinam so Karmo (dravya karmo) ka aana so dravya aasrav. (Sarir ki parinati is not Dravya aasrav).

Q. Aasrav kaise mitaya jay?
A. Bahiya kriya/nimit mitane se aasrav nahi mit ta. Aarav to atama ke raag-dvesh, moha rup parinam pehechan kar ke unhe mitane se/abhipray thik karne se (paap ke saath-saath puniya be mitane yogya hai aisa janne se/mitane se) mit ta hai.