Siddha Swarup:
-> Grahastha-avastha ko tyagkar, Munidharma sadhan dwara 4 ghati karmon ka nash hone par jinke anant chatushtay bhav(Anant gyan, Anant darshan, Anant sukh, Anant virya) pragat hue hai tatha kuch kaal piche 4 Aghati karmon ka jinko nash hua hai ve Siddha parmesthi "Dhyan me prayojaniya hai" atah hum unke swarup ko Dhyate hai.
-> 4 Aghati karma: Goon
Ayu -Avagahantva
Naam -Sukshmatva
Gotra- Agurulaghutva
Vedniya -Avyabadhatva
-> Unhe munidharma sadhan(Shuddha bhav rup sadhan) dwara moksh fal ki prapti hui hai.
->Munidharma sadhan do prakar se hai.1) Shubh bhav rup sadhan :- Mahavrat, samiti, Gupti adi kriya rup shubh bhav.2) Shuddha Bhav :- Atma main sthirta rup parinam shuddha bhav hai.
-> Ve urdhva gaman rup swabhav se lok ke agra bhag me virajman hue hai. Siddha avastha prapt hote hi ve usi avastha mein (standing, sitting) aur jahan hain usi kshetra se sidhe tin lok ke agra bhag mein virajman hote hai.
-> Tin lok ke bahar ka vistar alokakash hai. Vahan dharm aur adharm dravya nahin hone se siddha bhagvan tin lok ke agra bhag mein ja kar ruk jate hai.
-> Ve samast par-dravyon se rahit hai, mukt hai aur unka akar charam sharir se kinchit nune purushakar avasthit hua hai. sharir ka pola pan jahan atama ka pradesh nahin hota hai vo bhag sikudne ke karan unka akar antim sharir se thoda kum purushakar hota hai.
->Siddha bhagvan amurtic hai so unhe nirakar bhi kahetein hai.
-> Amurtic mane jo pratyaksh na dekha ja sake aur murtic mane jo pratyaksh dekha ja sake. Atma sharir se alag koi vastu hai ye gyan sirf keval gyani hi jan sakte hai.
->Ve sarva prakar ke karmon(Dravya karma, Bhav Karma, No Karma) se rahit hai atah sampurn rup se apne swabhav ko prapt hue hai.
Dravya karma- Gyana varnadi 8 karma.
Bhav karma- Rag, dveshadi vibhav bhav.
No karma- Sharir ityadi
-> Dravya karma aur bhav karma ek dusre ke madhyam se(Dravya karma ke phal se bhav karma rup parinam hona aur usi parinamon ki vajeh se naye dravya karma bandhana) hone par bhi atma ka parinaman(shubh-ashubh bhav) atma ke adhin hai.
-> Arahant parmesthi ke bhav karma ka sampurna nash hua hai tatha dravya karma ka anshic nash hua hai.
->Siddha parmeshthi ke vedniya karma ka nash hone se avyabadhatva goon pragat hota hai arthat unke sukh me koi badha nahin hoti.
-> arahant parmeshthi ke vedniya karma hone par bhi mohniy karma nahin hone se unke sukh me bhi koi badha nahin hoti.
-> Jinke no karma ka nash hone se amurtic pana pragat hua hai tatha Bhav karma ka nash hone se nirakul anandmaya shuddha swabhavrup painaman ho raha hai.
-> Jinke dhyanh se bhavya jivon ko swa-dravya aur par-dravyon ka vigyan(vishesh gyan) hota hai aise siddha bhagvan ko hum namskar karte hai.
Swarupa
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
3 comments:
in last second point, last line it should be Parinaman, instead of painaman, i think so.
The recorded class is at http://cid-52d749a4f28f4c05.skydrive.live.com/self.aspx/Public/MMP%20class/03-11-08_%e0%a4%b8%e0%a4%bf%e0%a4%a6%e0%a5%8d%e0%a4%a7%e0%a5%8b%e0%a4%82%20%e0%a4%95%e0%a4%be%20%e0%a4%b8%e0%a5%8d%e0%a4%b5%e0%a4%b0%e0%a5%81%e0%a4%aa.WAV
Siddho ka dhyna karne se swa-dravya aur par dravya ka vishesh gyan kaise hota hai ?
Post a Comment