Thursday, April 30, 2009

Notes from class of 4/29

Class Date: 4/29/09
Chapter: 4
Page#: 88
Paragraph #: Kyonki koi dravya..
Recorded version: http://cid-52d749a4f28f4c05.skydrive.live.com/browse.aspx/Public/MMP%20class.
Summary:

4/29/09

Chp 4- Pg 88- contd

Kyonki koi dravya..

Vastu apne svabhav rup hi parinaman karti hai. Do alag alag jeev dravya ek dusre rup nahi hote. Jeev ajeev rup dravya ek dusre rup nahi rehte. Even within the same dravya, saare guna alag alag rehte hai. Paryay bhi alag alag rehti hai.

Koi bhi vastu aisi nahi ki vo vibhav rup parinaman kare. Jo uske vikalp hai, hum sirf us vikalp ke karta hai. Hum agar samjhe ke hamare vikalp karne se karya siddh hua hai, to vo galat hai. Yadi hum yeh maane ke ki kuch mrea kiya hua hai, to usme raag dvesh hona sahaj hai. Koi kisi ka karta nahi. Jo kuch ho raha hai vo sab kuch apne apne svabhav rup hota hai. Kuch anyay rup nahi. Jisne jaisa kiya tha ya chaha tha, vaisa ho raha hai. To anyay rup kaise hua aur fir raaeg dvesh bhi kyo kare? Jab hum karte pana ka bhaav karte hai, to future mein kuch kar nahi paayenge. If we want ki hum kisiko apne aadhin rakhe, to future mein vaisa hi hoga lekin hamare saath (i.e. we will be aadhin). Hum apne aap ko sharir ke karta samjhte hai, lekin hum karta hai hi nahi kyonki we cannot control anything- then how are we karta? Instead by considering ourselves as karta, we just increase our raag dvesh, kashay and karma bandh. Pratikulta mein to aisa vichar aata hi hai ki mein karta nahi- lekin anukulta mein aisa vichar aana chahiye.

Gyan mein pehle to nirnay hota hai phir usme anubhuti hoti hai. Agar gyan pakka hota hai, tab jaake anubhuti hogi- isliye purusharth nirnay karne ki aur ho. Nirnay ho jaaye, to phir shraddhan aur anubhuti ki aur badh sakte hai. Nirnay se pehle, viparya ya anadhyavasay hi hai.

Jab apne aap ko sirf gyata drushta samjhe, to dukh to hohi nahi sakta kyonki tab hum situations ko paryay rup samjhenge. Mein anya par dravya ko naa karta hu naa bhogta hu, mein to sirf sva ko bhog sakta hu, par ko kar hi nahi sakta. Itne saare anant pudgal humne bhoge, lekin koi pudgal hum par attach nahi hua. Aisa jaane to swa rup mein sthirta aayegi aur samta bhaav sahaj ho jaaye. Isse vitrag charitra utpann hota hai.

Yadi hum apne aap ko consistently reminder dete rahe ki hum gyata drushta hi hai, then there is a chance ki hum vaisa nirnay kare lekin agar remind bhi nahi kare to kabhi naa ban paaye. The thing is that whether we agree with it or not, the fact remains that hum par vastu ke karta nahi. Agyani does not believe and accept this, but that does not change the fact. Gyani and agyani both are not kartas, but gyani knows that and therefore is not dukhi; whereas agyani does not believe and therefore is dukhi.

Things happen based on their own svabhav, but when coincidentally at the same time, jeev also wishes for the same parinaman in that vastu, he then mistakenly things that he is the karta. Parantu yeh baat samjh mein nahi aati. However such coincidences are not frequent, most of the times things do not happen the way we wish; therefore it is proven that we cannot control, we are not karta. Bhagwan vitrag hai aur yeh sab niswarth rup se batakar gaye hai to why would this be false? They have been very kind enough to show us the path that led to anant sukh for them.

Karya ki yogyata bhi decided hai, hum sirf nimit ban sakte hai. Dhan aadi par dravya apne anusar aayenge aur apne anusar jayenge- hum sirf dekhte hai parantu unfortunately hum usme nimit bante hai aur samajhte hai ki hum karta hai. Yeh galat samajh agar dur ho jaaye, khud ko hum sirf gyata drushta samjhe, to raag dvesh kum ho jaayenge.

Apne karne se kisika sadbhav ya abhav nahi hota- uske swayam ke upadan ki yogyata ki vajeh se uska aana jaana banta hai. Yadi apne karne se sadbhav abhav hote nahi to kashay karne se kya faida? Agar mein kuch kar hi nahi pata to vikalp kyon karu?

Apne ko karta maanne se hum khud hi dukhi hote hai, humse kisika sadbhav abhav to hota nahi- to kyon kare? Anya vastu ko apna swarup maankar dukhi hote hai. Hum is dukh aur kashay ko dur kar sakte hai- sirf apne ko karta naa maankar, gyata drushta maanna hai.

-Shweta

1 comment:

Vikas said...

Very good blog. जैसा आपने लिखा है, वैसा परिणमन भी हो - आपका और सभी का.

1 Comment:
Koi bhi vastu aisi nahi ki vo vibhav rup parinaman kare.विभाव की जगह पर-रूप परिणमन नहीं करती, ऐसा कहना चाहिए. क्योंकि जीव राग-द्वेष रूप विभाव परिणाम तो करता है, परन्तु अजीव रूप (पर-रूप) नहीं होता.