Wednesday, April 29, 2009

Mithya Charitra Ka Swarup

Class Date: 04/28/2009 - April 28th, 2009
Chapter: 4
Page#: 88
Paragraph #: 5th para - Mithya Charitra Ka Swarup
Recorded version:
Summary:

* Mithya Charitra kise kehte he?
- charitra moh ke uday se jo kashay bhav hote he vo mithya charitra he.
- yaha par mithyava yaani ki darshan moh ke uday ke saath jo charitra omh ka uday he uski baat he.
- vese to 10th gunasthanak tak charitra moh ka uday hoga lekin 4th gunasthanak se 10th gunasthank me jo he unhe mithya charitra he esa nahi kahte.
- ha, unme sanyam ki tartamata ki apeksha aur virati aur pramat jivan ki apeksha sakal charitra na ho lekin charitra samyak he, mithya nahi he kyon ki mithyatva nahi he.
- mithyatva aur mithyacharitra ho tab to asanyam hoga hi. Lekin mithya charitra aur mithyatva na ho tab bhi asanyam ho sakta he - 4th gunasthanak.

* Mithya charitra me ek bhi kashya ka abhav nahi he yaani ki anantanubandhi kashay bhi abhi nahi gayi he.
- anantanubandhi kashay ka abhav ho to charitra samyak naam payega. varna to mand kashay ho to bhi mithya charitra naam hi payega.
- yaha mithya charitra me jiv ya to sanklesh parinaam se paap rup kaary karta he yani ki asubh pravrutti karta he. ya mand kashay ke uday se dharma rup kriya karta he.
- kashay mand ho aur dharmik kriya kare to bhi anantanubandhi kashay ho to mithya charitra hi kahenge. Ha, leshya upar ki hogi lekin anantanubandhi category ki hi leshya he abhi.

* Charitra yaani sva ke parinaman karne ki chaah. agar apne svabhavrup parinamit hone ki chaah ho to vo samyak he lekin par svabhav rup pravrutti ki chaah hone se use mithya charitra kehte he.
- sukh to apne me hi pada he , bahar se thodi na lana he!!!

* jiv ka svabhav to gyaata - drashta he. yaha drashta yaani darshan upyog se samanya jananaa. aur gyata yaani gyan upyog se vishesh janana.
- is gyata - drashta svabha se har samay padartho ko dekhta aur janta he. sirf dekhta-janta to thik tha lekin jiv saath me aur bhi 2 bhav karta he.
- ek to dekhe-jaane hue padarth me isht-anisht manataa he - darshan moh se.
- dusara ki isht ya anisht man unme ragi - dweshi hokar unka sanyog - viyog chahta he - charitra moh se.
- par padartho ka sanyog -viyog chahne par bhi jiv ka kiya hota he nahi , is liye jiv ki vrutha hi kashay se aakulta bani rehti he.

* jiv se anya par padartho ka sadbhav ya abhav ya parinaman kyo nahi hota?
- 2 sidhdhant se ye baat clear hogi:
- ek to ye ki ek dravya anya dravya ka karta - harta nahi he.
- dusra ye ki har dravya apne-apne svabhav rup parinamit hote he.

* upar ke sidhdhant se hum me par padartho ka jo karta bhav paya jata he us ko dur karne ka guidance milta he.
- kai baar hum esa to samajate he ki par padartho me upadan karta jiv nahi he. lekin nimit maatr he. yaha jiv nimit he esa kahkar bhi khud ko nimit mankar nimit rup se karta manane ka abhipraay nahi he na uski savadhani rakhni chahiye.
- karta hu nahi sirf itna nahi.. karta ho hi nahi sakta esi manyata dradh karni padegi. karta pane ki apni asamarthata bhasit hogi to kartapana jayega.
- manyata badalegi yani ki beliefe thik hoga to us manyta rup parnaman bhi hoga aur charitra me bhi gyata drashta bhav sthir hoga. Varna mithyatva hoga tab tak kashay bhav ki aur kartapane ki parampara chalu rahegi.

- gyata drashta bhaav se koi burai kare ya prashansha kare use sirf jano , samta bhav se sirf jano. ye sahi he aur ye galat he - is tarah se jagat ko dekhne ka bhav dur hoga.
- har vastu apne svabhavrup parinamit ho rahi he, me kuch nahi karta - me kuch kar hi nahi sakta.
- me to sirf janta hu aur me to sirf jaan hi sakta hu.
- har dravya me dravytva naam ka sadharan gun mojud he, jis se voh prati samay akhandit parinaman karta rehta he.
- anya dravya ko madad ki jarurat nahi he to me kyo un me dakhal karne ki baat sochta hu.

Extra:
- Jiv ki hinsa karna bada paap he lekin jiv ki hinsa me kar sakta hu esi soch hona vo bhi maha paap he.

- gyata - drashta bhav rup shudhdha upyog ki avastha to kadachit hi antarmurhurt ke liye aayegi lekin par padartho ko gyata - drashta bhav se har samay ya jyadatar samay dekhne se kartabhav rup mithyatva ko chot lagti rahegi aur ache subh upyog rup bhav bane rehne se nirnay karne ki disha me pragati hoti rahegi.

1 comment:

Vikas said...

बहुत बढ़िया.
Something to think: "karta hu nahi sirf itna nahi.. karta ho hi nahi sakta esi manyata dradh karni padegi"

1 correction:
Charitra yaani sva ke parinaman karne ki chaahचारित्र यानी परिणमन की चाह नहीं, बल्कि स्व में परिणमन करना.