Wednesday, December 3, 2008

Notes from class of December 2, 2008

Notes from class of December 2, 2008:

Meaning of manglacharan and why we do manglacharan:


Jate mile samaj sub pave nij pat raj - guno ke samuday ki prapti ho aur uske karan khud ke pad (mauksha/mukti) ki prapti ho...

Q. Hum Mangalacharan kyu kare aur kaise bhaav hone chahiye?
- Antray naa aye
- Nastikta ka parihar ho
- Vighna bina samapti ho
- Punya ki prapti ho
- Shishtachar ka palan ho
.
Mangalacharan kaa arth samaj ne se jub hum kriya karte hey us samay uski upyogita malum ho aur uske swarup / guno ki taraf dhyan jaye. Chintan karana bahut avshyak he usse shradhhan me nirmalta aati hey. Jiske paas tatva gyan nahi hey wo padhe to usko gyan ho jaye, anadi ka agyan dur ho jaye and samayktav ki prapti ho.. aur jo samyaktvi hey uske shradhan me aur jyada dhradata hoti hey..

Page 46:

Vaidya kaun hey?

Sarvagya dev aur unki vaani aur vachno hi sahi me Vaidya hey. Uska swikar es liye nahi karana kyuki ke kisi vyakti ne kahi but ye jinvani ki baat hey es liye swikarya hey.... Kyu ki kal wo vyakti se hume rag/dvesh ho jaye to uski kahi baat me bhi shradhan nahi rahega.

2nd last paragraph:

Hamari ankhe kharab hone par hum chashma lagate hey. Hume ankho ke janese se jyada dukh hota hey yaa chashme ke jane par? ankho ke jane se jyada dukh hota hey compare to chashme ke. esa kyu? chashme to sirf sadhan hey.. In reality, hum ankho se dekhate hey... Same way, indriyo se gyan ki utpati nahi hoti. Gyan ka source indriya nahi hey way to sadhan bhut sharir ka ang hey.. Gyan to swa ka gun hey... Yadi esa hum mane to hume ankho ke nasht hone se dukh hona chahiye yaa swa ke gyan ke nasht hone se?
Lekin hum indriya ko hi sarvsva manate hey aur yahi hamari paradhinta bhi hey..

Moh ke uday hone par vishay grahan karne ki ichha hoti hey. Vishay ke grahan hone par ichha thode samay ke liye khatam ho jati hey aur hum sukh ka anubhav karte hey.But in reality, ichha ke khatam hone se jo nirakulta milati hey usse sukh milata hey nahi ke vishay ke milane se...Lekin, ichha rup parinam dukh dayak hey.. iccha nahi hona hi sahi me sukh hey...

Jaise agni par ghee dale to kya ho? pehle thode samay ke liye dabti hey aur badme bhabhak tee hey ese hi vishay ke milane se kuchh samay ke liye sukh ka abhas hota hey lekin bad me jwala ban kar aur ichha e hoti hey..trishna/lobh/ichha hona hi mul me dukh ka karan hey.. nirakulta hi sukh ka lakshan hey..

Jaise kutta haddi ki pichhe bhagata hey aur jab khata hey to uske muh se khun nikalaa hey and use lagata he ke haddi se khun nikalaa hey.. esa sun kar hume kutta kitan murkh lagata hey!!! usi tarah hum vishay ko sirf janate hey (bhogata nahi hey. gyan aur darshan hi bhogane layak hey.) aur esi se sukh nikal ke aata hey esa manate hey.. Lekin, vishay me to sukh nam ka gun nahi hey.. padarth me sukh naam ka gun nahi he to fir achetan padarth me se sukh kaise mile? Wo to aatma se milta hey...

Jo janane layak vastu e hey use gyey kahte hey. Hum aapne gyan se gyey ko janate hey aur gyey apne gyan me zalakata hey..But, hum gyey aur gyan ko alag nahi karte aur gyey se gyan ki utpati hoti hey esa manate hey aur gyan ko gyey ke adhin manate hey but in reality, gyey se gyan utpan hota hey nahi. gyey to sirf nimit rup hey.

-Harshil

1 comment:

Vikas said...

Summarized class well.

Adding this statement may help clarifying what this example is for:
Aur yeh vishayo ke milane par jo sukh ka aabhaas hota hai, woh kaisa hai - Jaise agni par ghee ....

Very important point that we need to keep in mind:
..Lekin, vishay me to sukh nam ka gun nahi hey.. padarth me sukh naam ka gun nahi he to fir achetan padarth me se sukh kaise mile? Wo to aatma se milta hey...