Classnote for 12/03/2008 Page 46.
Que 1 : Agar indriyo ke dwara gyan hota hai to usme kyo ektva-mamatva na kare?
Ans 1 : Indriya sirf sadhan matra hai. usme ektva karne se sharir me ektva bhav aata hai to aatma aur sarir bhinn hai ye bhasit kabhi nahi hoga. Uske fal swarup jo gyan aatma ka swabhav hai uske upper dhyan na de kar sirf bahya vastu per dhyan de raha hai ya indriyo ki sambhal kar raha hai, ye sanskar aanadi se chal rahe hai. Jo gyanrup vastu hai vo meri hai per indriya hai vo meri nahi hai kyoki indriyo gyan ka karan hai per gyan nahi hai. Jo gyan hai vahi mera hai to jo meri vastu hai usiper ektva-mamatva kare.
Example : Ek mrutdeh ke pas bhi indriya hoti hai per use gyan nahi hota hai, kyoki uske aatma ne vah sharir ko chod diya hai to fir mrutdeh ko gyan ho ye sambhav nahi hai. Isliye, jiv gyan uski indriyo se nahi prapt kar raha hai per uske aatma ke gyan gun se use jan raha.
Aatma hai wah raja jaisa hai, ki agar raja ka pura sainya aur senapati mar jaye to raja hara juva nahi mana jata, per agar, raja ek mar jaye to bhale hi pura sainya-senapati zinda ho per wah hara huva mana jata hai.
Que 2: Jiv ko janma/maran ka bhay kaise dur ho sakega?
Ans 2: Sharir hai wah ek sadhanrup hi hai, to fir jo maran hoga wah mera nahi hoga kyoki me ek gyan swarup hu jo bhutkal-vartmankal-bhavishyakal me paya jata hai, kyoki gyan ka swabhav hai janne ka to iska kabhi nash nahi ho sakta, me aur sharir dono bhinn hai, sharir to shirf ek sanyog matra hai. Sharir aur aatma dono ka nature, characteristics, properties alag alag hai.
Que 3 : Jiv kab sukh ka aanubhav karta hai?
Ans 3 : Jab koi vastu ki iccha kare aur vah vashtu prapti hote hai tab jiv sukh ka anubhav karta hai, hakikat me sukh ka anubhav vastu ki prapti hone par nahi parantu iccha purna hone per hota hai. Usse viprit – iccha ke bager vastu mil jaye to usme sukh ka anubhav nahi hoga kyoki uski iccha nahi thi.
Example : Agar aisa kahai ki vastu ki prapti per sukh ki prapti hoti, to, agar kisi ko job mil jaye to fir use sukhi man sakte hai, parantu job milne ke bad uske sath jude huve baki ke sare dukh jaise manager ka tension, job per samay per pahuch ne ka tension, uske bad promotion ka tension, etc… vah sare job ke sukh ke samne zyada dukh rup hai, to fir wah sahi me sukhi nahi huva hai, to fir aisa man sakte hai ki sukh iccha purna hone per huva tha, na ki vastu ki prapti per.
Iske upper se yah kah sakte hai ki agar iccha hi na ho to hamesha sukh ka anubhav rahaiga, to fir sachae sukh ka anubhav jiv iccha ke mitne per kar sakta hai ya to iccha utppan hi na kare tab, parantu iccha utppan na ho ye sakya nahi hai, jiv ek sukh/iccha ki prapti hone per dusre sukh/iccha ki prapti ke liye jud jata hai, per kabhi sampurna sukh nahi pata.
Jitni intensity iccha ki hogi utni uske dukh ki bhi hogi, utni hi intensity uske purna hone per sukh ki hogi, per us kshanik sukh ko na dekh kar usse jude dukho per drashti karni zaruri hai. Iccha hi dukhrup hai per jiv aisa man raha hai ki iccha sukh ka karan hai, to fir jiv dukh ke karan ko hi sukh ka karan jan raha hai, yahi mithyatva hai.
Shree Kundkundacharyaji ke anusar iccha purti hone per jo sukh ki prapti hoti hai vah hakikat me sukh nahi hai per sukhabhas hai ya dukh ki matra me kami aana.
Example: Bahut der se daud rahai the aab chal rahai hai ye sukhabhas hai wah sukh nahi hai.
Sukhabhas ka viprit parinam hone par wah dukhrup lagega, aatmik sukh sacha sukh hai, jo kevli bhagwan ke paya jata hai, wahi saccha sukh hai jo kabhi aage ja kar dukhrup nahi hoga, aisa anubhav mithayatvi ko kabhi nahi paya jata.
Que 4 : Iccha utppan hone ka karan kya hai?
Ans 4: Iccha utppan hone ka karan jiv ke mohniy karma ke uday hai,
SukhàIcchaàMohaniya karma
Mohniya karma hi sacche dukh ka karan hai to fir usme se kaise bacha jaye ya vah utppan hi naho vahi saccha sukh hai. Jaisi aavashtha aarihanto ki hai, Siddho ki hai, munivaro ki hai, ki jiske pas koi sukh ke vishay nahi hone per bhi sabse sukhi hai, kyoki unke pas rag-dvesh ka aabhav hai, iccha ka aabhav hai, to fir sahaj hi sukhi hai.
Iccha charitra moh ke uday se hoti hai na ki man se, kyoki ekndriy jiv ko bhi iccha hoti hai. For example, chiti ko shakkar khane ki iccha. Iccha paryayrup(charitryarup ki paryay) hai, gunrup nahi hai kyoki wah nash bhi hoti hai, aagar gunrup hoti to uska nash nahi hoti.
Bahot si iccha dukhrup na lag kar sukhrup lagti hai. jaise nidd aana, brush karna, nahana,etc. par ye sari iccha sarir ko saaf karne ke liye hai, na ki aatma ko, kyoki aatma kabhi malin hi nahi hota. So sva-par bhed vigyan karna zaruri hai.
Que 5: Jiv ki drashti kaisi honi chahiye?
Ans 5: Mohniy karma ke uday se utppan honewale krodhadi bhav mere hai, kyoki mere se utppan ho rahai hai per wah mere gyan swarup aatma ke swabhavik bhav nahi hai, vaibhavik bhav hai, jo aatma ke lakshano se bhhinn lag rahai hai to mere nahi hai, me to sirf is bhav ko jan raha hu to me is bhav ka gyata-drashta hu, per aashtitva ki aapeksha se vah mere hai, kyoki aatma ki satta me pade huve hai.
Que 6 : Sharir aur aatma ek-dusre se bhinn kaise hai?
Ans 6: Sparsh, ras, gandh, varna ye sarir ke lakshan hai, jo aatma ke nahi hai to sarir aur aatma ek dusre se bhainn hai. Jaise, “muje krodh aaya” jo mohniy karma ke nimmit se uday me aata hai, jo udayrup aavastha khatma hone par krod chala jayega aur gyan swarup swabhav ka uday ho jayega. Lakshano ki aapeksha se kahai to gyan ko utppan hone ke liye nimmit ki zarurat nahi hai, krodh ko utppan hone ke liye nimmit ki zarurat hai, jo krodh utppan ho raha hai aatma sirf use jaan raha hai. waise hi gyan aur gyey (Janne layak) dono ko bhinn nahi jane, ya sharir aur atma ko bhinn nahi jane tab tak dono me ektvabhav rahaiga, aur dukh ka karan rahaiga. Wohi Gyey mishrit gyan hai.
Example, Muje bhukh lagi hai- bhukh ki iccha hui hai wah janna, matlab sarir me bhukhrup aavastha ka hona, aru ye bhukh muje nahi sarir ko lag rahi hai, aur sarir me ektva na kare, to khana khane se sukh aur nahi khane se dukh, dono ki utpatti nahi hogi.
Karma, kriya adhyatmikta se shastro me samjaya hai ki sarir aur aatma dono aalag aalag hai.
Que 7: Mithyatvi aur Samyakdrashti ki iccha me kya difference hai?
Ans 7 : Mithayatvi manta hai iccha sukh ka karan hai, aur samyakdrashti ki iccha hai vah subhrup iccha hai. Samyakdrashti manta hai ki iccha sukh ka karan nahi hai, iccha dukhrup hi hai, per jo subh iccha se nikalta hai wah saccha sukh hai. Samyakdrasti jiv ki aabhi ki state ki wajah se use iccha ka parinam ban rahai hai. Aisa bhi nahi hai ki samyakdrashti ki sari ichchaye subh rup hi hia. uske bhi ashubh ichcha payi ja sakati hai. parantu woh unhe bura hi janata hai.
ICCHA HI DUKH KA KARAN HAI YAH SHRADHAN HI MOKHA MARG PAR AAGE BADHNE ME MADADRUP HAI.
Que 8: What is aasha, trushna, and lobh? And, how are thaiy correlated?
Ans 8: Aasha - Jo padarth hai nahi use pane ki iccha karna wah aasha hai.
Trushna - Jo padarth hai use bhadhane ki iccha karna wah trushna hai.
Lobh – Jo padharth hai use sambhal ne ki iccha karna wah lobh hai.
Thursday, December 4, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Very soon this site will be famous among all blogging and site-building users, due to it's good articles or reviews
Post a Comment