Wednesday, June 17, 2009

Class notes from 6/16/09

Class Date: 6/16/09
Chapter:Bhav Dipika
Page#: 36
Paragraph #:
Recorded version:
Summary:

5 types of grahit mithyatva;
ekant, sanshay, vinay , viparit and agyan
6 tatva:
dev, guru, dharm, aapt, aagam aur padarth
Agrahit mithyatva: 1) par dravya, par gun and par paryay me sahaj rup se ahankaar aur mamkaar karna
2) prayojan bhut karan ko nahi manana
3) paryay buddhi me dravya buddhi dharana
Ekant Mithyatva: Dharma ke subhi ang hai unko nahi janke sirf ek ko hi grahan karna aur dusaro ka nishedh karna..gaun pana nahi ho kar nishedh pana karna..
Vyavahar bhas --> Jise Vyavhar ka aabhas hai. Jo nay ko samyak rup se nahi janata aur esliye uska nay ko janana bhi aabhas rup hi kaha jata hai. Both nay ka barabar gyan aur jis rup se hai uska aisa shraddhan banta hai tab usko aabhas naam nahi diya jata.
Q. Vyavhar janana jaruri hai aur phir chhodne layak hai aisa kaise?
Ans: Jaise ashubh vastue chhodne layak hey ese Vyavhar chhoda nahi jata. Kisi bhi gyani kaa jivan vyavhar rup se hi chalata hey aur nischay rup pravuti to bahut thode samay ke liye hoti hey aur ese to vyavhar dhrama hi mainly chalata hey. Initially, Vyavhar ko upadeh budhdhi se apanate hey aur manate hey ki vyavhar ki madhyam se nischay ki prapti hoti hey.
Q. Nischay ke prapti ke time par kya vyavahar chalata hey?
Ans: Aatma ke anubhav ke samay vyavahar nahi chalata kyuki vyavahar to vikalp/pravuti/vachan rup hota hey lekin wo jiv vyavhar se hata hua nahi hey.
Page 36:
Sanyam - Vyavahar dharm ke ek ang me hi pravarti karana dusari ke upeksha karana.. thoda kiya uska ahankar hey aur hum jo kar rahe hey wo bahut hey yaa jo kar rahe usme santushti honi. esa bhav galat hey.. for example, kashay khatanese, tras aur sthavar ko bachane se, anu vrat ka dharan karane ke baad, maha vart dharan karane se.. sirf etna karane se apana kaam ho jaata hey, esa sochana galat hey.. In short, ek ang pakadake wo hi sirf karana aur dusare ang ki upeksha karana, esi bhavana rakhani galat hey..
Hum ye sab kriya kar rahe hey vo bahut hey aur usme hi sanushti kaa bhav aata hey, kyuki hume anulkulata milti hey and hame lagata hey ki etan karane se mera bhala ho jayega..Hume hamara goal clear hone chahiye - yaha tak kis karan se aye aur abhi goal pura nahi hua, kaam baki hey aur lakshya ki taraf efforts baki hey..
In sab me vyavhar samyaktva dharan karane me hi, ku dev ko nahi pujate, sapt vyasan ka tyag karanese, abhaksh, ratri bhojan and aur sab ka tyag karanes se (vyavhar samyakta - vyavhar dharma ke ang) En sub me se koi 1-2 ang ka dharan karane se wo aapne aapko samyaktvi ho gaya esa sochte hey.. khudko dharmatma manata hey - Yuh vyavahra bhasi ekant mithyatvi hey...
If hamara lakshay dharm ka hey aur hum dharm ke raste par hey to hum dharmatma kahe jate hey lekin dharma (nischay dharma) ko janane kaa lakshya naa ho pan aapne kashay ko poshane ke liye dharm pravuti karata hey wo activities mithya charitra hey aur antrang kaa bhav mithya darshn me jata hey..
Kya kasoti hey?
1) vyavhar dharma me santushti ka bhav aa gaya ho to hum galat kar rahe hey
2) Hum kriya kar rahe hey to phir humne socha nahi ki hume kya siddhhi ho rahi thi aur hamara lakshya kya hey wo bhul gaye
3) Kriya me utsah kaa bhav hey yaa nirasha ka bhav atta hey? yadi nirasha ke bhav hey matlub nishay dharma ki pravuti suru nahi hue..
Yadi hum aage ki chij (goal) dekhate hey to hum kabhi santusht nahi hote aur aage badhate hi jate hey.. aue vyavhar nishay ke sadhak hey aur kaise madad karega muje mere lakshay par le janege..
Vyavhar sadhan hey nishay ke marg pe aaage jane ki liye.. Gruhasth jivan me bahut mulayvan hey - parinamo ko vishudh karane ke liye, nischay pe jane ki liye - vyavhar ke bina nischay pragat nahi ho sakata.. nischay ke bina vyavhar karya kari nahi hey - dono ki bhumika jaruri hey..
nischay bhasi means - nishay rup dharam ki bare me bahut vichar kare lekin implement nahi karate.. vyavhar dharm kaa nishedh hey..punya and paap dono heeey hey so dono nahi karana,... wo nischayaa bhas hey..

-Harshil

No comments: