Thursday, June 26, 2008

Class notes of 25th june, Dravya karma aur bhav karma ka swarup aur pravritti.

Dravya karma aur bhav karma ka swarup aur pravrutti

Kin do karno se naya bandh ho raha hai?
Yog aur Kashay.Yog so ashrav Kashay so bandh
-->Yog se prakriti aur pradesh bandh hota hai. Sthiti aur anubhag ki apekhsa prakriti aur pradesh bandh shaktivan nahin haiTahtapi unka astrav dukhadayak hai kyonki vo bandh ka karan hai.
-->Ek samay mein bandhe parmanu Abadhakal ko chodkar apni sthiti ke anusar prati samay mein uday mein atein hai aur anant samay mein bandhe karma apni apni uday avastharup ek kal mein bhi uday mein ate hai. us samay un sare karmon ka anubhag milke jitna phal hota hai utna ek samay mein eksath phal deta hai.
-->Anant vargo ka samuh vargana hai aur anant varganaon ka ek spardhak hota hai.Yah spardhak hi uday mein atein hai.
-->Karmonki 10 prakar ki avastha mein 6 avasthaye is prakar hai .
1.Bandh
2.Uday
3.Satta
4.Utkarshan
5.Upkarshan
6.Sankraman
-->Prati samay jo karma atma se bandha rahein hain ve sare samayprabaddha hai.(Range ki apeksha)
-->Dravya karma: Gyana varnadi jo pudgal parmanu rup prakritiya hai ve dravya karma hai.Murtik hai aur pudgaladi parmanu se bane hai so dravya karma hain.
-->Bhav karma: Mohniy ke uday se jitne parinam hote hain ve sare bhav karma hain.Darshan mohniya so mithyatva, Charitra mohniy so Krodhadi kashay rup parinam.
-->Dravya karma se bhav karma aur bhav karma se dravya karma hota hai usme karan- karya sambandha hai. Jub dravya karma se bhav karma ho tub dravya karma karan aur bhav karma karya tatha jub bhav karma se dravya karma ho tub bhav karma karan aur dravya karma karya.
-->Karma ke tivra uday mein tivra kashay hone se tivra hi bandh hota hai tatha mand uday mein mand kashay hone se mand hi bandh hota hai.Usme tivra-mand kashay ke anusar sankraman bhi yadi hona ho to hota hai.

Nokarma ka swarup aur pravritti.

-->Jis prakar karmon se sukha dukha ka anubhav hota hai usi prakar sharir ke ashray se bhi sukha dukha ka anubav hota hai aur'No'- mane ishat, thoda, kinchit-mane karma jesa balavan nahin hone se 'no' aur sukha dukha ka anubhav karane ke karan se karma, isliye sharir ko no-karma kaha.
-->Bhav Indriya:-Labdhi aur upyog rup janaja ya janane ki takat.
-->Bhav Mann:-Ek ek samay gyan se janana, gyan ki jo state pragat ho rahi hai vo bhav mann, Dravya man ke thrue jo gyan ka parinaman hota hai vo bhav man hai.
Bhav indriya ke do prakar hai.
1.Labdhi
2.Upyog
-->Labdhi: Gyan ke kshayopsham ke vikas ki shakti so labdhi
-->Upyog:Upyog mein jo karya chal raha hai vo upyog bhavendriya hai.
-->Jub tak jiv ki ayu puri nahin hoti tub tak is sharir se atma ka ekshetravgah sambandh raheta hai. Isprakar jub tak moksh na ho tub tak sharir ke milne bichudne rup sansar paribhraman chalta raheta hai.Atma asankhyat pradeshi hai aur sankoch vistar ki shakti sahit hone se sharir praman raheta hai. Sharir ki avastha aur usme moh ke uday se jiv ke sukh dukh rup parinam hote hai.

Swarupa

No comments: