Prayojan :--- Jis se sukha ki prapti ho ve sare karan prayojan hai.
Karan:---Karya ki utpadak samagri ko karan kehte hai.
---> Vitrag-vishesh gyan se sukha ki prapti hoti .
---> Arahantadi ke prati aho! bhav unka stavan, Stuti,Unke swarup ka chitan(Atma ke ghatak aise "Char ghati karmon ka nash",Keval gyan,Nasagra drashti,Akarta pana), Jinvani sunana(Arahant ke vachan sunana) Adi kriya yadi swa ki khyati, labh(lokik), puja(Khud ke sanman) ki chah ke bina nishprah bhav se ho to ve parinam vishuddha parinam hai.
---> Vishuddha parinam se atma ke ghatak ghati karmon ki hinta hoti hai.
---> Ghati karma ki hinta se "Vitrag-Vishesh gyan" sahaj hi pragat hota hai.
---> Vitrag-vishesh gyan se sukha ki prapti hoti hai jo ki apna prayojan hai.
--->Bahya sukha ki prapti ke liye arahantadi ka stavan karna tivra kashay ke karan se hota hai aurTivra kashay se keval pap bandha hi hota hai.
--->Bahya(indriya janit) sukha ki kamana karna aur dukha se darana yah bhram hai.
--->Apna mul prayojan sukha ki prapti hai aur uske liye kashay ka nirmul hona avashyak hai aur yadi kashay nahin rahegi to bahya samagri me sukha dukha ki kalpana ka sahaj hi abhav ho jata hai.
--->Indriya-janit sukha prapti arahantadi ke stavan se sahaj hi hoti hai lekin usme kuchh bhi apna hit nahin hai.
--->Arahantadi hamare liye mangal hai.
--->Jo pap ko galaye aur sukha ko laye vah mangal hai.
--->Arahantadi hamare sukha me nimit hone se hamare liye sada mangal hai.
Swarupa
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment