Wednesday, October 28, 2009

Class notes from 10/28/09

Class Date: 10/28/08
Chapter: 7
Page#: 205
Paragraph #: 1
Recorded version:
Summary:

Page 205, 1st Paragraph:

Pujan, Vrat, Tap, Niyam adi shubhopayog rup karya hai - Usse shubh ka bandh hota hai aur bandh to aashrav rup hi hota hai. Aashrav to dukh rup hote hai - Es tarah Pujan adi ko bandhrup manana yeh to satya hai lekin... Pujan aadi karyo ko chhodkar shudhopyog rup karyo kare to wo to achcha hi hai lekin vishay kashay pravurti kare to jiv aapna bura hi karta hai.

Shubhopyog se vastu (moksh ke prayojan) ki prapti kabhi nahi hoti lekin usse swarg mile yaa bhale nimit se Karma ke stithi aur anubhag ghat jaye (ashubh karmo ka aapkarshan hona...) to samyaktav ki prapti ho jaye - Es tarah Shubhopyog se hume ese sadhan milate hai jo hume moksha marg ke raste par aage badhaye aur hamare kashay, moh, mithayatva adi kaa uday mand ho jaye - Shubhopyog se Shudhopyog kabhi nahi hota lekin shubhopyog esa environment create karata hey jisse Jiv ko shudhopyog ho sake aur usme help karata hai.

Ashubhopyog se nark/nigodh ho yaa buri vasana se stithi aur anubhag badh jaye to samayktva bahut durlabh ho jaye.. Aur yadi manushay ka paryay mile to bhi kahbhi aatma, parmatma, karma ye sub kya hai yeh jane nahi yaa kabhi sunane ka moka naa mile - me kaun hu uska vichar bhi naa kare - Hum duniya ko janana chahte hey lekin hum aapne ko hi nahi janate.. kyoki hum kya hey wo hum janate hey aisa hame lagata hey.. kabhi prayas nahi karte ke hum apne ko jane..

So es tarah Manyata se dono (Shubhopyo and Ashubhopyog) dharma nahi hey.. lekin pravuti se dono ka bhav alag hai.

Punya aur Paap dono ka uday bandh rup hai, dono mand ya tivr kashay rup hai, dono shudhopyog rup nahi hay, Swabhivik parinam nahi hey ve to done vaibhavik rup hai so dono bure hey lekin jub dono me se pick karana ho to phal ki aapexa se hum shubhopyog hi pick kare.
Shubhopyog se kashay mand hote hai aur jab jab Shudhopyog hota hai tab always Shubhopyog ki bhumika se gujarate hey - Es tarah Shubhopyog hume moksha ke marg pe aage le jane me aur hamare lakshya ko achieve karne me help karata hey es liye even wo bandh ka karan hai phir bhi hume Ashubhopyog chhodkar Shubhopyog karana chahiye..

-Harshil

1 comment:

Vikas said...

बहुत बड़िया !

जैसे शुभोपयोग छोडकर शुभ करना चाहिये, वैसे ही शुभोपयोग को छोड़ कर शुद्ध का लक्ष्य करना चाहिए. मात्र शुभोपयोग का goal नहीं बनाना चाहिए. वास्तव मे शुद्ध का लक्ष्य रहेगा तो शुभोपयोग स्वतः होगा ही.