Thursday, July 2, 2009

BhavDipika - Viprit Mithyatva - Notes from July 1st'09

Class Date: 07/01/09 - July 1st, 2009
Chapter: Bhavdipika, Chapter 4
Page#: Page 40
Paragraph #: Viprit Mithyatva Bhav ko Prarupit karte he, Para 3rd
Recorded version:
Summary:
-Tatva ka swarup viprit janana aur esa viprit shradhdhan kar viprit pravrutti me pravartan karana.

-Dev:
-Dev ka svarup hamne aage jana usase viprit jaan, us rup dev ka shradhdhan kar, unki seva, sthapana adi karna.

-Guru:
-Yatharth Guru ko kuguru janana aur jin me gurupana na ho unko guru manana.
- kya hame guru ka sachcha shradhdhan he? ham ko guru ko dekh aadar bhav aaya ke shanka ka bhav aaya, viprit buddhi chali, pakshpat ka vichar aaya.

-Sanyami jiv ko dekh bahumaan na ho to yeh to sanyam ki upeksha hui, esa kar khud ko sanyam ke bhav kab aayenge?

-Agar Dev-Guru ka svarup achchi tarah se jana hoga to kuguru-suguru me bhed kar sankenge.

-Hum laukik jivan me to hey-upadey budhdhi ka use karte he to fir dharmik jivan me, adhyatma me hey-upadey ke baare me kyon na soche, usi me manushya jivan ki safalata ka adhar he.

-Dharma:
-Dharma ka sachcha swarup to vitraagrup or samyag gyaanrup he, usko na manana aur raag-dwesh ko poshan karana ya to sirf dwesh ko bura janana lekin raag ko achcha manana, is taraf dharma me viprit manyata hoti he.

-Kalyankari dharmik pravruti to nahi hoti, lekin raag-dweshrup, kashay bhav poshit karnevali, hinsaadi paanch paaprup aur indriya ke vishay ko poshit kare esi kriya dharma ke naam se karna.

-Jin mat me bhi jo dharmik kriya kahi he voh kam nukshaan aur jyada labh ho us bhaav se karni he, agar shastrokat vidhi ya vivek budhdhi se kriya na kare to nukshan jyada hoga aur labh kam.

-kriya ke piche sachcha abhipray ho voh jaruri he. tirthyatra bhav vishudhdhi karne ya vyavahar se punya ke liye karte he ya ghoomne-firne ke liye, picnik ke liye. Tap kar punya ka aur ichcha nirodh ka bhav hota he? agar dharmik kriya kar ke bhi pramad kare, santusht ho jaave to abhipraay me vipritata ho sakati he.

-khyati, laabh, puja aadi ke bhav se dharm me pravrutti karana galat he.

-khudh viprit dharma karna aur fir usi ka updesh dena, shastra me na ho edi baat usme add karna aur is taraf viprit mat ki prerna karna voh to usse bhi bada paap he. vakta banana, likhana adi badi jmmevari ka kaam he aur jin aagya ke bhang ka bhay hona jaruri he.

-apne pad ke anusaar pravrutti na karna aur hin ya adhik karna so bhi viprit he.

-Aapt:
-Kuaapt yaani kudharma ka updesh denevaale. Kya hume tv/movie me aanevaale actor/acresses me kuaapt dikhte he? voh bhi updesh dete he, unse hum sikhte he aur unke jesa banana chahte he. Hume Muniraaj/Tirthankar dekhkar unke jesa banane ka utsaah aata he, hamare aadarsh kya he?

-mithyatva bhav ka poshan kare, paanch paap ko poshit kare voh kuaapt he. unke dwara prarupit marg par pravartan karna so vipritataa he.

-Aagam:
-Jinokt Aagam ko Kuaagam jananaa aur jisme purvapar badha ya praman-nay se badha aaye ese shastra ko sachcha shashtra maananaa, so viprit he. Mithyatva, raag-dwesh, kashay aur vishay ka poshan ho voh sashtra kushashra hoga.

-Viprit manyata se pakshpati budhdhi ko poshan milta he. Asatya ko satya, Satya ko asatya maananerup vipritata ko poshan milta he.

-Jab kuch naya jaane aur usme 1% fayde ki baat ho, baaki 99% kaam ka na ho aur dusri taraf 100% hitkaari ho to hum kya select karenge? Usi tarah Jin Aagam me 100% hitkaari baat he to voh grahan karne ka utsaah hona chahiye.

-Padarth:
-6 dravya, 5 astikaay, 14 rajlok, aatma ka svarup adi na manana so viprit mithyatva he. kutatva ko hi tatva maanana.

-tatvo ka saccha swarup na jaananaa aur hey ko upadey ya upadey ko hey jaanana so viprit he.

-yaha tatva ko jano to voh to samyak gyaan dilayega lekin jo tatva ka sachcha swarup na jana to usi tatva ke nimitta se mithyatva badh sakhta he.

1 comment:

Anonymous said...

I just added this web site to my feed reader, great stuff. Can not get enough!