Wednesday, July 22, 2009

Class notes from 7/21/09- Chp 7 MMP

Class Date: 7/21/09
Chapter: 7
Page#: 193
Paragraph #: 1
Recorded version:
Summary:

7/21/09

Chapter 7 pg 193

Overview of chapter 7:

Karma rup avastha sukh rup nahi. Pratyaksh pataa chalta hai ki samast jeev is avastha mein sabhi apeksha se sadaa dukhi rehta hai. Aage ke sabhi chapters mein yeh prove karke, pratyaksh bhasit karke aaye.

Yeh chapter mein jain dharm ki padhai karne ke baad, jo pehle vaali bhulo (aage ke chapters mein described) ko chhod chuke, aise jaino ka jo mithyatva rehta hai, uska varnan yaha kiya hai.

Chapter 4 mein the key thing was that no one was ready to believe ki mein aatma hu- us mithyatva ki baat thi. Is 7th chapter mein grahit mithyatva ke bare mein kehte hai (manushya paryay ki apeksha).

Doha:

Bhaav ek faile hue vruksh ke samaan hai aur uska mul (beej) mithyatva hai. Upar dikhai denevaale kashay rup bhaav mul nahi- yeh mithyatva ke ashray se pragat hote hai. Ab isko (mithyatva ko) nirmul karna chahiye- isse moksh ka upay hoga.

Paragraph 1:

Jo Jain aagya ko maante hai, moksh marg mein lagna chahte hai (jaati matra se jain hai vaise nahi) aise jaino ke mithyatva hai uska varnan karte hai. Jin aagya ko maante hai parantu sthul rup se, nischay nay se nahi, vastu ka mul swarup naa samjhe..in sabka karan kya hai uski charcha.

Nischay nay yatharth hai, vyavahar nay upchar rup hai.
Vyavahar nay ke do bhed: Sadbhut vyavahar nay aur Asadbut vyavahar nay. Asadbhut matlab jo hai nahi, Sadbhut matlab jiski satta pai jaati hai. Sadbhut ke do bhed: shuddh aur ashuddh. शुद्ध सद्भुत व्यवहार नय वह है जो शुद्ध गुण और शुद्ध गुणी या शुद्ध पर्याय और शुद्ध पर्यायी को विषय करता है, जैसे जीव का गुण ज्ञान है या केवलज्ञानादि जीव की पर्याय है अशुद्ध सद्भुत व्यवहार नय वह है जो कर्म से युक्त द्रव्य को देखता है, जैसे जीव की मति-ज्ञानादि अवस्था या राग-द्वेष रूप अवस्था.

Bhed kar diye to vyavahar nay kyonki vastu mein bhed to nahi, keval samajhne ke liye bhed kiye jaate hai.

Nay shrut gyan ke vikalp ko kehte hai. Ek samay mein yaa to samanya ya vishesh ko jaan sakta hai- dono ek saath nahi ho sakta.

Vastu ka samanya ansh, ya akhand swarup, trikali rup parinaman- yeh nishchay nay. Aur jo vishesh rup hai vo vyavahar nay hai.

Nay praman ka ansh hai. Praman se jis vastu ko jaana, uska vivechan ho sakta hai. नय से प्रमाण रूप वस्तु का विवेचन करते है. इस प्रकार वह पूरी वस्तु का ज्ञान करा सकता है.

Jin aagam padh karke bhi kaise uska viprit arth karte hai aur fir viprit shraddhan aur acharan hota hai vo is chapter mein bataya hai. Yaha aisa viprit maanna intentional nahi hai. Itna sab karne ke baad kyon mithyatva reh jaata hai, aur use kaise bache, vo panditji ne bataya hai.

Nischayabhasi mithyadrashti:

Aise vyakti apne aap ko moksh margi maante hai. Nischay ko nahi jaante, nischay aabhas ke shraddhani hote hai. Sansaari hai, parantu bhram se apne ko siddh maante hai. Parantu jin aagam ko padh ke aisa kaise maan sakta hai? Jab aagam ne apne ko siddh samaan kehta hai, to vo dravya apeksha se kehte hai. Parantu nischayabhasi anubhav se ya paryay ki apeksha se aisa manta hai- to aisa to ho nahi sakta. Arihant bhagwan bhi siddh nahi to sansaari jeev to kaise ho sakte hai?

For example, a king and a begger are the same manushya hone ki apeksha (dravya drushti) se, parantu if you consider money (paryay drushti), then then they are not the same. Similarly, siddh and sansari are the same from jeev ki apeksha parantu sansari pane aur siddh pane ki apeksha se same nahi.

1 comment:

Vikas said...

Thanks for posting promptly. It's really a good practice.

Some comments:
Sadbhut ke do bhed: shuddh (mati gyan aadi paryay) ashuddh (raag aadi paryay)
Correction: यह दोनों ही अशुद्ध सद्भुत व्यवहार नय के examples है. शुद्ध सद्भुत व्यवहार नय वह है जो शुद्ध गुण और शुद्ध गुणी या शुद्ध पर्याय और शुद्ध पर्यायी को विषय करता है, जैसे जीव का गुण ज्ञान है या केवलज्ञानादि जीव की पर्याय है
अशुद्ध सद्भुत व्यवहार नय वह है जो कर्म से युक्त द्रव्य को देखता है, जैसे जीव की मति-ज्ञानादि अवस्था या राग-द्वेष रूप अवस्था.

Nay shuddh gyan ke vikalp ko kehte hai
Correction: Nay shrut (श्रुत) gyan ke vikalp ko kehte hai

Nay se vivechan kare to vo adhura hota hai.
Correction: नय से प्रमाण रूप वस्तु का विवेचन करते है. इस प्रकार वह पूरी वस्तु का ज्ञान करा सकता है.