Class Date: March 2nd , 2009 (03/02/2009)
Chapter: 3
Page#: 72
Paragraph #: Moksh Sukh aur Uski Prapti Ka Upaay
Recorded version:
Summary:
* Jese bandh ka mul karan kashay he esa jana, usi tarah dukh ka mul karan he ichcha.
* ichcha ka abhav tab hi hoga jab samyag darshan, samyag gyaan aur samyag charitra, in tino ki prapti ho. unme se ek ka bhi abhav ho to moksha sukh nahi hoga.
* moksh ka sukh aur hamare varmaan ke dukh dur hone se jo sukhabhas hota he, in dono me sukh ki jaati hi bhinna he. moksha ka sukh indiryajanit aur manasik sukh se bhi badhkar anupam sukh he ki jo aatma ke svabhavik parinaman se utpanna hota he.
* moh hi aatma ke sukh gun ko badhit karta he. kshayopshamik darshan aur gyaan ichcha ke bahirang karan the aur antaraay shaktihin pane ka karan tha. In ghati karmo ke abhav se hi sachche anant sukh aur anant gyaan, darshan, virya ki prapti hoti he.
* yaha loi kahe ki moh gaya to sukh aa jayega. to pfir gyaan purna na aaye to bhi chalega? antarang karan to moh hi he usase ichcha ka abhav hone par sukh to he hi. lekin bahirang karan ka bhi abhav hota he to usase bahirang se bhi dukhi lagate nahi he.
* Jo aghati karma he voh to ichcha ke bahya asamarth karan he. Moh ke na hone se voh ichcha utpaan karne me samarth nahi he. moh ke hone par hi voh karanrup the. Unka bhi abhav hone se sidhadha pad prapt hota he.
* is anant sukh ke bare me hamari manyata kya he ye sochna chahiye. kya ham samajate he ki hamara sansarik sukh aur moksh sukh dono different category ke sukh he. agar hamane esa soch rakhkha he ki sidhdha ka sukh hum se bahu jyada he to uske baare me fir se vichar karne ke jarurat he. 7 tatvo me se moksha tatva ke bare me nirnay karne se is prakar ka mithyatva dur hoga.
* sidhdh ke sukh ke le liye visheshan : anupam, akhandit, sarvotkrusht, anantkaal tak virajit sukh.
* ab batalaate he ki ye moksha sukh sachcha upaay kese he. agar hame upaay sacha lage to hi uske liye purusharth karenge. is paay se kese dukh dur honge voh batalate he.
* gyanavaran aur darshanavaran ke dukh kese dur hote he?
-> jab gyanavaran aur darshanavarn ka kshayopasham tha aur uske saath moh ka uday tha tab vishay ko jaanane-dekhne rup ichcha thi aur usase vyakul aur dukhi tha.
-> ab moh na rahne se ichcha nahi he aur sabhi indriyo ke sabhi vishay yugpat grahan hote he to vyakulta aur dukh ka karan hi nahi raha. kuch bhi esa nahi raha ki jo janana baki ho. is prakar yah dukh aur karano ka abhav hota he.
* gyanavaran aur darshanavaran ka kshyopsham esa tha ki sharir aur indriya ki jarurat thi vishay grahan karane me, kuch janane me. ab aatma ka esa svabhav he ki bina kisi ki sahayata ke janana hota he.
* man se bhi nahi janate kyon ki man se to kafi aspashat jante he. man se jyada spashat to indriya se jan sakate he aur kevalgyaan se to indirya se bhi anant guna jyaada spashat jaanana hota he.
* ek baat: jese sansaarik sukh aur kshayik anant sukh ki jaati/category different thi vese gyaan me nahi he. apne kshayopshamik gyaan aur sidhdh ke kshayik gyaan ki jaati me janane rup samanata hi he.
* think: sachche sukh ko samajane se pehle in 2 baato ka nirnay hona chahiye:
-> adhikaar 3 me karma janit , paryaay apeksha aur ichccha apeksha jo dukh samajaaye voh hume khud ko dukh rup lage is baat ka nirnay aur in dukh ke bina aur koi dukh nahi he is baat ka nirnay.
Tuesday, March 3, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Excellent. Thanks for writing. This is something we need to ask ourself how Sidha/Arihant bhagwan are purna-sukhi, Is this state of being soul only w/out any karma/nokarm really blissful? If so, kya mujhe waha jane ka lalach aa raha hai!!
This is also good point to think:
* think: sachche sukh ko samajane se pehle in 2 baato ka nirnay hona chahiye:
-> adhikaar 3 me karma janit , paryaay apeksha aur ichccha apeksha jo dukh samajaaye voh hume khud ko dukh rup lage is baat ka nirnay aur in dukh ke bina aur koi dukh nahi he is baat ka nirnay.
Post a Comment