Wednesday, January 27, 2010

Class notes from 1/25/10

Class Date: 1/25/10
Chapter: 7
Page#: 226
Paragraph #: 6
Recorded version:
Summary:
1/25/10

Chapter 7 pg 226
Para 6

Asrav tatva sambandhi bhul

Yadi punya upadey hai aisa mane to ashubh hi hota hai, parantu yadi punya ko hey mane aur shubh pravarti mein ho (4th to 6th gunsthanak) to zyada punya hota hai. Punya aur paap, karm ki apeksha ek hai kyonki dono se sada kaal bandh hi hota hai aisa manna chahiye. Yadi aisa manna ho to lakshya ki prapti ho. Jaha purna rup se, vitrag hokar, gyata drashta ho sirf vo upadey dasha hai aur nirbandh dasha hai.

Samanya jeev (jo abhi utkrusht/samyaktvi nahi hai) unke liye bhi manyata to yehi honi chahiye ki punya bhi karne layak nahi, usme bhi bandh hi hai. Maanna aisa hai aur karya bhi shudhoupyog ke lakshya ko dhyan mein rakhkar hi karna hai. Aisa karne se shubh mein pravarti aap hi ho jaati hai, sahaj rup se- shubh upyog ka lakshya nahi rakhna. Jab tak aisi avastha na ho, prashast raag rup pravartan karna chahiye, parantu shraddhan mein ise moksh marg na samjhe. Shubh mein pravarte tab bhi sadhan sadhya bhaav yaad kare.

Aisa samajhkar fir iska bhaav bhasan karna hai—raag aur vitragta mein antar samjhna hai. Mand kashay rup parinam, so ye bhi raag rup hai, vitraag nahi hai aisa samjhna chahiye- yeh vitragta se bhinn kaise hai, yeh is ke madhyam se bhasit karna hai. Punya aur paap parinam dono hi santapt parinati hai, kya hamein aisa lagta hai? Kya puja karte hai usme bhi taap lagta hai? Shayad nahi, parantu vo bhi taap rup hai aisa dhyan mein rakhna hai, kyonki punya ke samay jo raag rup parinati chalti hai, vo bhi aakulta rup hi hai- isse dur hokar, vitragta samajhni hai. Punya paap rup parinam jo hai vo vikari hai, aur yeh asrav ka karan hai.

Shubh se shuddhatma pragat nahi hota, parantu shubh ke bina bhi shuddh nahi hota. Shubh shuddh ke liye sadhan hai, upadey nahi, lakshya nahi.

Mithyatva, avirati, kashay, yog yeh asrav ke bhed hai. Vo kaise:
Grahit mithyatva (ku guru, ku dev, ku shastra ka sevan) ko to sab jaini mithyatva maante hai, jaante hai; parantu agrahit mithyatva jo hamare anadi se paya jaata hai (jeev aur sharir ko ek maanna) iski aur vichar hi nahi jata. Mithyatva ka bahirang swarup to hum maan lete hai, parantu antarang swarup nahi samajhte. Sharir aur aatma ke bhed vigyan ko pragat karna hai.

Avirati- 5 indriyo aur man ke vishayo mein pravarti karna aur shat kaay jeev ki hinsa karna- yeh avirati hai aisa manta hai; parantu Hinsa mein pramad (aalas, asavdhani) parinati mul hai aur Vishay mein abhilasha mul hai- to bahirang pravarti pe dhyan hai lekin antarang parinati pe dhyan nahi- isse fir virati nahi hoti, avirati hi bani rehti hai. Jaise antarang parinam honge, vaisi bahya kriya hoti hi hai, isliye antarang parinam theek karne chahiye. Pramad se prano ka ghat, yeh hinsa hai. Aur fir, anya ka ghat ho ya na ho, pramad hai to swa ka ghaat to hota hi hai.

3 comments:

Vikas said...

शीघ्र भेजने के लिए धन्यवाद.

Couple comments:
Jab tak aisi avastha na ho, prashast raag rup pravartan karna chahiye
ऐसी अवस्था अर्थात पूर्ण शुद्धोपयोग की अवस्था.

Mithyatva, avirati, kashay, yog yeh asrav ke bhed hai. Vo kaise:
..ये आस्रव के भेद है, लेकिन इनका अंतरंग स्वरूप नहीं समझता, वो कैसे:..

Anonymous said...

I really appreciate the hard work put in by all the contributors to bring up this blog. I just wanted to bring to your notice that the follow the blog widget is not added to the blog coz of which I cannot add it to my readin list and keep myself updated of the posts.

Vikas said...

Thanks for bringing this. I added the widget on the page to add yourself to follow list.