Tuesday, August 19, 2008

Chapter-8 (page-279 para-3 to page-280 para-1) Date: 08/18

Nischay sahit vyavahar updesh (Parnimo ki pradhanta)

Darshan

  • Tatvo ke yatarth swarup ka shradhan karate hain
    Yatarth = Bhutarth = Vastavik = Real
    Example:
    1. Jivadi ka vastavik swarup like jiva gyan mai hai, jiva upyog mai hai, shakti mai hai etc (jive ke svabhav) ka updesh dete hain.
    2. Pudgal - karma ka swarup, karm bandhan kaise hot hai, asravadi kaise hain, svayam ke ragaadi parinam kaise hote hain etc. Ragadik parnim ko dukh dayak batakar unse viprit atama ke parniamo ko sukh dayak bataya hai and that explains sanvar and neerjara tatva.

  • Nischay swarup vastavik swarup hai(as listed in examples above) aur vyavahar swarup(like jiva indriyo vala hai, manusiya aadi gati/pariyayo main rehen vala) upchar hai aise shradhan se and with sva-par (sva=jiva, par=ajiv) ke bhed gyan dwara per dravya main ragadi chodne ke prayojan sahit (per dravya main rag karna = asrav bandh and ragaadi chodne = sanvar neerjara) un 6 tatvo ka shradhn karne ka updesh dete hain. Aaise 7(6 listed above + moksh) tatvo ke shradhn se Arihant aadi (jin dev/guru/shastra/dharma) ke alava baki subh jhoothain lagainge aur unko manana chut jata hain.
    Upchar - jo vastavik hai nahin use us kisi apexa us rup kehena (because of nimit-nametik relation ex: Jiva to murtik kehena owing to its association wtih body and karmas)

  • Nischay samyak darshan: Per dravya se bhin sva dravya/atama ka shradhan karna.
  • Vyavahar samyak darshan: True dev/shastra/guru ka shradhan hona without any "shanka".
  • Vyavahar updesh: Vyavahar updesh main kahenge ke ku guru, ku dev and ku shastra chode or su guru, su dev and su shastra ka shradhan karo
  • Nischay sahit vayvahar updesh: In Nischay shait vayvahar updesh sache tatvo ka shardhan karne ka updesh hai because of which jhuthain dev/guru/shastra ka shardhan apne aap chut jayega.


Gyan

  • Sansay aadi (sansay + vipariya + Andhyavasay) rahit above mentioned tatvao ka abhyas.
    Nischay updesh: Sansay aadi rahit gyan ki aradhana (tatvo ko janne ka updesh).
    Vyavahar updesh: Tatvo ko jane ke karn Shastra ka abhyas.
  • Sansay : Tatvo main shanka/doubt.
    Example: Raagadi mere hain ya nahin hain, atama mera hi swarup hai ya aniya dravya ka swarup hai, sarir se atama bhin hai ya nahin, death ke baad atama ka astitva hota hai ya nahin..etc
  • Vipariya : Ulta/galat gyan.
    Example: Pakka maan lena ke atama aur sarir ek hi hai, swarg/narka aadi nahin hotain etc.
  • Andhyavasay: There is no doubt but jaananeki kyo bhavana nahin hai.
    Example: jiva hai to hai nahin he to nahin hai etc

  • Vyavahar samyak gyan: Jinvani ka abhyas karna.



Charitra

  • Ragaadi dur karne ka updesh dete hain. Ekdesh, sarvadesh aadi tivra rag chutne se unke related papkriya chutti hai aur mand-rag se vrato ki pravruti hoti hain. Mand-rag ke bhi chutne se shudh upyog ki pravrati hogi.
  • vyavahar updesh aur nischay updesh main nimit-nematik/sadhan-sadhiya relation hai. Vrat ityadi sadhan hai aur ragaadi dur karna sadhiya hai.
    Note: Vrat ityadi karne se ragaadi chute ya na bhi chute but ragaadi chutne se mand-rag se vrat ityadi ki pravruti (dev/shastra/guru ka shradhan, jinvain ka abhyas etc) hoti hi hai.
  • Samyak dristiyo aur samyak gyaniyo ke niyamo ka bhi nirupan karte hain.
    Example: Bhakti kaise karni, Shastro ko kaise padhana etc.

  • Vyavahar samyak Charitra: Vrat ityadik palne ka updesh.


In Charanaanuyoga, tivra kasay chod kar mand kasay rup karya karne ka updesh hota hai. Although both tivra & mand kasays are harmful, yet if it is not possible to give up all the kasyas at once charanaanuyog advocates for mand kasay which is less intensed and beneficial compared to tivra kasays. Mand kasay se parampara kasay(continious sequence of sinful acitivities) ka poshan nahin hota aur parinam nirmal hote hain.

Examples: (sequence of activities one should follow)

  • Jin jivo ko ghar aadi banvane ka parigrah (asubh parinam) ho unhe "mandir" banvane ka (subh parinam) updesh dete hain.
  • Jin jivo ka thoda bahut paap karya chutta hai unhe samyaktva dharne karne ka aur anuvrat aadi palne ka updesh dete hain
  • Jin jivo ke anshik ragaadi chutte hain unhe dharma karya karne ka updesh dete hain.
  • Jin jivo ke complete arambhaadik paap karya chut jai unhe pujaadik aur mahavrataadi ka updesh dete hain.
    (anuvrat - Anshik (ekdesh) tayag, mahavrat - 5 paapoka complete tayag)
  • Jin jiva ke sare rag dur ho jaye unke liye kuch (kriya) karne ka updesh nahin hain since there is nothing left to do.

1 comment:

Vikas said...

A good detailed post :). Thanks for writing.

One small correction:

"...Jin jivo ke complete arambhaadik paap karya chut jai unhe pujaadik aur mahavrataadi ka updesh dete hain.
(anuvrat - Anshik (ekdesh) tayag, mahavrat - 5 paapoka complete tayag)"

Yaha jine samast paap chhodne ki bhavana hui hai, aise jeevo ko pujaadik ka upadesh nahi dete, mahavrataadi ka upadesh dete hai.