Tuesday, May 12, 2009

Raag-Dwesh Ka Vidhan - Notes from May 12th, 2009

Class Date: 05/12/2009 - May 12th, 2009
Chapter: 4
Page#: 91
Paragraph #: first para - raag-dwesh ka vidhan
Recorded version:
Summary:

sab se pehle hamne revision kiya ki par dravyo me isht-anisht pane rup jo buddhi he uska tyaag karna he. yaha tak ki ke karm jo ki jiv ke sukh-dukh me nimitt karan he, uske prati bhi ish-anisht ki manyata nahi rakhani he.

karma jad he to unme sukh-dukh dene ki ichcha nahi hoti he.
dusri baat yeh he ki karma to sirf nimitt he. nimitt ko sir nimitt rup se jana jata he usme dosh nahi nikala jata. dosh to upadan me he, antrang me he.

raag-dwesh ka vidhaan:
yaha hum ne dekha tha ki jis vastu ke prati raag he, uske karanbhut anya vastu bhi raag rup lagti he, jab ki us vastu ke ghatak padartho me dwesh buddhi hoti he. is tarag yeh shrinkhala chalti jati he. raag-dwesh ka vistaar is taraf felta jata he.

fir ek mukhya prashna tha ki sharir aur anya par padartho me ishta-anishta manane ka prayojan bhasit nahi hota lekin kiye bina raha nahi ja sakhta. us ka kya karan.

jiv ke raag-dwesh kar ne me charitra moh balvan karan he. raag-dwesh ke uaday aaye tab samane jo vastu he usko jiv aadhar bana leta he aur raag-dwesh rup parinamit hota he.

jin padartho ke nimitt se raag-dwesh hota he voh to bahirang karan he, aasamarth karan he, balvaan nahi he. jab ki cha. moh antarang karan he, samarth karan he aur balvaan karan he.

fir dusri baat dekhi thi ki bahya padarth ho ya na ho lekin moh mand ho to muni ko raag-dwesh bhi kam hote he. jab ki bahya padarth ho ya na ho lekin moh ke tivra uday me papi jiv ko tivra raag-dwesh hota he.

har jiv me ahampane ki buddhi payi jati he. agar jiv me sachcha shardhdhan he to voh khud me yani ki aatma me aham buddhi karta he. lekin agar mithyatv he tab bhi jiv me aham buddhi ka gun to hoga hi aur usa gun ka parinaman to hoga hi. agar aatma me ahambuddhi nahi hogi to sharir rup jiv ki is paryay me hogi.

usi tarah charitra moh ka uday bhi apna jo kaam he voh karega.. aur jiv me vibhab utpanna hoge. jab raag-dwesh ka uaday hoga tab raag-dwesh rup parinamit hone ke liye jiv par ka aashrya le hi lega.

bahya padarth ko sirf bahar se tyag karne se raag-dwesh kam nahi honge... uske liye to un bahya par padartho ko antarang se bhulne padenge. fir jese jese raag-dwesh kam hote jayenge vese vese bahya padharth chhutate jayenge.

1 comment:

Vikas said...

Thanks for posting :)