Wednesday, August 5, 2009

Notes from August 5, 2009

Class Date: August 05, 2009
Chapter: 7
Page#: 197
Paragraph #: yaha prashna he ki yadi karm ke nimitt se hote he to..
Recorded version:
Summary:
We talked about raksha bandhan for some time during this class.
Few points:
- bhai bahan ka ek dusre ke prati dharma he voh ek baat he. sachcha dharma to sadharmik ka dusre sadharmik se he. Is sachche dharma ki raksha ke liye raksha bandhan parva ki baat aati he.

* Nischayabhasi
-hum ne revise kiya ki nischayaabhasi ko jo aabhas hota he, jo viprit shradhdhan hota he, voh aacharana ke level ka nahi he.
-yani ki koi kriya karne se ya na karne se vyakti nischayaabhasi nahi kehlati.
-lekin yah abhaas to manyata ke level ka he. yaani ki vastu ko galat rup se jaan esa galat abhipraay rakhana so nischyabhas rup viprit shradhdhan he.

*prashna:
-yadi raagaadi vibhab bhav jiv karma ke nimitta se karta he to iska ye matlab hua ki jab tak karma ka uday rahega tab tak jiv vibhaav bhav karega... yaha jiv vibhab na ho esa purusharth hi kyo kare? jiv ka udhyam to nirarthak ho jayega.

-yeh bahut gambhir prashna he. jis jiv ko purusharth na karna ho use jab karm ki baat pata chalti he to us nimitt ko urdhva kar ke khud ke prmad rup parinaam ko dosh rup nahi janta.

-is se jiv me svachhand aacharan badh jata he. voh sochata he ki agar karma karvata he esa hi me karta hu to fir me meri marji mujab kaam karu.. aur dosh karma par daal du ki usne karvaya to mene kiya.

*uttar:
-ek karya ke hone me anek karan hote he. in me thode karan ki jo budhdhipurvak soch kar karne hote he voh purusharth mang lenge. jab ki anya karan ki jo svatah hi ho jate he jese ki karmo ka uday etc unhe abudhdhipurvak karan kahenge. voh khud hi mil jayenge.

-yaani ki budhdhipurvak karan ko jutane ka purusharth karenge to abudhdhipurvak karan to mil hi jayenge.
-jab ki abudhdhipurvak karan milenge ya nahi esa sochkar budhdhipurvak karan ka purusharth hi na kare yeh galat baaat he/ ahit ki baat he.

-lok me bhi hum purusharth dipak jalane ka ya roti bananake ka karte he tab anya abudhdhi purvak karan mile tab tak ruk nahi jaate.

-agar abudhdhi purvak karan na mile tab tak budhdhi purvak ka purusharth na kare to laukik karyo me bhi esa kare, sirf dharma ke karyo me hi esi soch kyo?


*yaha raagadi vibhaav dur kar ne ke liye mohniya karma ki upshantata adi jese abudhdhi purvak karan he aur tatva vichar jese budhdhi purvak karan bhi he. hume to tatva vichar rup purusharth karna chahiye.

*aatma upadan bhi he aur nimitt bhi he. usi tarah karm nimitt bhi he aur upadan bhi he.
-karman vargana ka karm rup parinamit hona so to karm upadan he. aur aatma ka raagadi rup parinaman hona to aatma upadaan he.
-yaha aatma karma ke liye nimitt he aur karm aatma ke liye nimitt he.
-is tarah dono dravya svatantra rup se parinamit bhi hote he aur dono upadan aur nimitt karan sath bhi milenge.

*abudhdhi purvak jo karan hote he voh nimitt rup karan he. nimit hoga hi lekin sirf nimitt par hi drashti ho voh thik nahi he. is drashti ko change karna hoga.

1 comment:

Vikas said...

Thanks for posing the blog.

In short, हमें तो तत्त्व-विचार आदि कार्य करना चाहिए जिससे मोहादी का नाश हो.

A suggestion for the blog - if it's in complete Hindi or English, it would be easier to read.