Friday, February 26, 2010

Nishchayaabhashi ki manayata/pravarti sambhandi discussion

Class Date: 11/11/2009
Chapter: 7
Page#: 208
Paragraph #: 1
Recorded version:
Summary:

Q.Nishchayaabhashi ko Jeevadik tatvo ka sachaa shradhan nahin hai, Yah kaise jaana?
A. Based on manyata/pravarti/parinam listed below.
Yahan kriyao ka vargikaran nahin hai, manyata ki mukhyata hai.

Q. Is charcha/discussion ka udeshya kya?
A. Hum main aesi bhul hon to use sudhar sakain.

Bhul : Nishchyaabhasi Subhopyog ko "hai" man kar svachandi ho kar asudhopyogmai charan karte hain.Gyani ko asrav ho raha hai so bandh ka karna nahin hai aisa mante hain hence aise karyo/parinamo ko bura/chodne yog nahin mante.
Clarification: Gyanibhi tivra raagadi se bachne ke liye subh upyog main pravarte hain. Sache gyani abhipray main subh/asubh karyo/parnimo ko achcha nahin mante aur samast raagadik bhavo ko ahitkari jankar unka naash karne ke udhyami hote hain (eventually naash karte hain).

Anukram se phele tivra raagadi chudane ke arth asubh karya chodkar subh main lagna, aur paschat mand-raagadi bhi chodne ke arth sobh ko bhi chod kar sudhopyog rup hona.

Svachandpana - Raagadik se asubhacharan/asubhopyog karna so svachandpana.

Bhul : Nishchyaabhasi kudh ko gyata samajhte hain kintu abhipray main karta mante hain.
Clarification : Abhipray main karta hokar kare aur gyata bhi rahe(mane) aisa hota nahin hai.Jo kart hai so gyata nahin hota or jo gyata hai so apne ko karta nahin mante. Gyata bhi ho aur karta bhi ho - aisi vipritta jinagam main nahin hai. Jo gyata hai use raag-dvesh nahin hote hence par-dravya isth-anisth nahin lagte.

Vasto vyavasta se (Nishchay se) to atama gyata hi hai, karta ho hi nahin sakta.Sayong aur Raag-dvesh badal jaate hain kintu jannar svabhav hamesha aise ka aisa hi reheta hain.Sayong/nimit ko koy badal nahin sakta hai (kartapane ka nished), matra drashti badalni hai.

Q. Abhipray main sache shradhan ki kasoti kya?
A. Asubh, subh kriyao se chootne ka moka milne par bhi agar choot nahi pate to samzhna abhipray abhi thik nahin hua hai.

Bhul : Maand udhyami nishchayabhasi badi-badi asubh kriya (business, shaadi etc) kalesh rup mankar ghatate hai, subh (vrat, tap, swadhyay etc) ko "hai" (subh-asrav) mankar nahi karte bas svayam ko sudh maan kar moksh rup purusharth (arth, kam, dhram, moksh) nahin karte aur aalsi-nirudhyami rehetain hain.
Clarification :
1. Asubh upyog ko dvesh se nahin par us "hai" maan kar vitraagtaki prapti ke liye chod na chahiye aur jo moksh ka sahi upay hai use karna chahiye. Par dravya se (jo asubh kriya ka tyag kiya) sukh-dukh nahin hota par un main raag-dvesh karne se jeev svyam sukh-dukh rup hota hai. Asubh upyog ko dvesh/kalesh budhi se chodna koy dharma/vitraagta nahi hai - Dvesh (kalesh) kiya so vha to ausbh kriya hi ho gayi. Parthmik bhumik main tivra raag se bachane ke liye asubh ko dvesh budhi se chodate hain but jab thoda gyan ho tab to uska (subh ka) sachaa swaroop samjha kar uska tyag karna chahiye.
2. Jab tak purn sudhata pragat nahin hoti tab tak subh kriyao main lagna chahiya. Sudhopyog hone main subh upyog nimit ban sakta hai. If nothing else, at least, asubh main pravartne se to subh main pravartna bhetar hi hai.

saat tatvodik ka aur sva-par ityadika sachaa shradhan hone par, raagadik bure hain aisa nirnay kar ke, atmanubhav karna aur us main aage badhte rehena so sachaa dharma hain.

Q. Maand udhyami ka upyog sudh hai - aisa kehena kyon praman nahin hai?
A.
1. Yaadi woh kahe ki atma ka chintan karta hai so praman nahin hai kyon ki shastradik dwara anek prakar (dravya, gun, paryay etc) ke atma ke vicharo ko to vikalp thera ta hai.
2. Agar limited vishesano (drvaya sudha hai, nirupadik etc) ka vichar karta hai to us main to bahut kaal nahin lagta.
3. Barambar ek hi vastu main chad-mast ka upyog nahin reheta hai. Anukulta - pratikulta main upyog sthir (udaasin) nahin reheta hai.
4. Gandhar (muniyoke muni = acharya, acharyon ke muni = Gandhar) ka upyog bhi 100% sudh nahin hota so maand udhyami ka kaise ho?

Diff betn Svachandi & Maand udhyami
Svachandi - Raagadik se asubhacharan/asubhopyog karta hia. Asubh kriyon ko yogya mankar (hai nahin mankar) aur us main prvarta hain. Vishay-kashay main dharm manta hai.
Maand udhyami - Maand udhyami asubh (mota-mota) aur subh dono chod te hai. Asubh ko raag ke karn nahin par kalesh/kasth maan kar chod ta hai. Maand udhyami mote-mote vishay-kashay main to nahim parvarta par aalsi-nirudhyami hokar reheta hain.